Hindi Poetry Collection of famous poets

Bulandi ka nasha simtoh ka jaadu tod deti hai,
Tez hawa oodhte hue panchi ki baazu tod deti hai,
Siyasi bhediyon thodi bohot gairat zaroori hai,
Tawayaf tak kisi muake per ghoongru tod deti hai. Unknown Poet

Jo kehte hain iss aandhi mai per na tola jaiga,
Jo iss baat per khush hain humse lobe na khola jaiga,
Unnse kaho hum toofano ne darne vale log nahi,
Qatil ko marte dum tak qaatil he bola jaiga. Unknown Poet

Mohobbat kon kerta hai siyasat kon kerta hai,
Mujhe malum hai meri hifazat kon kerta hai,
Or hamare jaise he kuch log aajate hain ladne ko,
Nahi toh jung mai jaane ki himmat kon kerta hai,
Or humhe ne laaj rakhi hai buzoorgo ki yahan verna,
Sabhi tookdo pe palte hain baghawat kon kerta hai. Unknown Poet

Lobon per hum sajake ayat-a-quran nikle hain,
Watan per marne mitne ka liye armaan nikle hain,
Zamana agar tula hai jaan lene per toh kya darna,
Hatheli per sajake hum bhi apni jaan nikle hain. Unknown Poet

Naaz jispe tha taaqat vo bebus hui,
Kaam lashker na koi qila aaiga,
Hogi quran ki behurmati jis jagah,
Ekse badhker ek zalzala aaiga. Unknown Poet

A Dilli bata dhokha tujhe kab humne diya hai,
Ittrana ke layak jo hai vo sab humne diya hai,
Or hinsa ka jo illzam lagatein hain vo sunnlein,
Gandhi ko Mahatma ka lakab humne diya hai. Unknown Poet

Bulbulo ke Pankho mein bandhe hue kabhi Baaz nahi rehte,
Buzdilo aur Kayaro ke Haathon Mai Kabhi Raaj Nahi Rehte,
Ser Jhuka ke Chalne ki aadat pad jaaye jis Insaan Ko,
Us Insaan ke Ser Per Kabhi Taaj Naahi Rehte. Unknown Poet

Kehtein hain khudi se khud ka andaaza nahi hota,
Bahar aane se pehle phool bhi taaza nahi hota,
Koshishein kerte raho dost toh jaan jaoge,
Muqaddar ka hamesha band darwaza nahi hota. Unknown Poet

Jise hum haar samjhe the gala apna sajane ko,
Vahi ab naag ban baitha hamare kaat khane ko. Unknown Poet

Champa ke dus phool,
Chameli ki ek kali,
Murkh ki sari raat,
Or chatur ki ek ghadi. Unknown Poet

Koyal apni kookh se,
Paid apne fal se,
Khet apni oopaj se,
Or insan apne karmo se jaana jaata hai. Unknown Poet

Her parvat pe madi malik nahi hote,
Her hathi ke mathe pe mukhta madi nahi hoti,
Her jungle mai chandan ke paid nahi hote,
Or her desh mai Narendra bhai jaise neta nahi hote. Unknown Poet

Gulshan gulshan phool khile hain,
Pankh lage vikas ko,
Jisne swarg na dekha ho,
vo dekhe jaake Gujrat ko. Unknown Poet

Jis tarha aage ke dhairo ko koi kha nahi sakta,
Prathvi ko ooncha ootha nahi sakta,
Parvat himalaya jaise ko koi hila nahi sakta,
Sagar jaise ko koi sookha nahi sakta,
Oosi tarah Narendra bhai ki taqat ko koi Hindustan mai daba nahi sakta koi mita nahi sakta. Unknown Poet

Congress ki mandi badi nashili hai,
Iss mandi mai sabne madira pili hai,
Or kamar band pukhta hain yaro sirf dalalo ke,
Aam aadmi ki dhoti toh yaaro dhili hai. Unknown Poet

Mosam badal raha hai her cheez badal rahi hai,
Garmi jaa rahi hai sardi aarahi hai,
congress ja rahi hai bjp aa rahi hai akhir mai kehta hua,
Hai andhera bohot ab suraj nikalna chahiye,
Jaise bhi ho ye mousam badalna chahiye,
Or jo chehre roz badaltein hain nakabo ki tarha,
Ab janaza dhoom se unka nikalna chahiye. Unknown Poet

Nai kamro mai ab cheezein purani kon rakhta hai,
Parindon ke liye shehro mai pani kon rakhta hai,
Hum he girti hui diwarko thame rahe verna,
Salikhe se buzurgo ki nishani kon rakhta hai. Unknown Poet

Unn gharon mai jahan mitti ke ghade rehtein hain,
Kad mai choteho magar log bade rehte hain,
Jo bhi daulat thi vo baccho ke hawale kerdi,
Jab tak mai nahi baithu ye khade rehte hain,
Maine fal dekh ke insano ko pehchana hai,
Jo bohot meethein ho andar se sade rehte hain. Unknown Poet

Gungunata jaa raha tha ek fakhir, "Dhoop rehti hai na saya dair tak". Unknown Poet

Agar ye darr haiki tujhko vo tum se tu kerde,
Toh mashvara hai mera khatam guftagu kerde. Unknown Poet

Kuch toh gum ki hirasat mai kat gai,
Kuch din teri visal ki chahat mai kat gai,
Ab jab tak jeenge nafrat kareenge hum,
vo din he or the jo mohobbat mai kat gai. Unknown Poet

Bhawar mai rehke kinare talash kerta hai,
Zami pe kon sitare talash kerta hai,
Vo kya koi inkalab laiga,
Jo her kadampe sahare talash kerta hai. Unknown Poet

Mushkil koi aan padehi toh ghabrane se kya hoga,
Jine ki tarkeeb nikalo marjaane se kya hoga,
Sab milker awaz oothain toh kuch chand pe rob padhe,
Mai tanha jugnu hu mere chillane se kya hoga,
Mere charago aankh milao suraj banker bat karo,
Aandhi aati hai toh aai ghabrane se kya hoga. Unknown Poet

Bhale ek bar hona chahiye tha,
Kisise pyar hona chahiye tha,
Khade hain vo gulamo ki safo mai,
Jinhe sardar hona chahiye tha. Unknown Poet

Masiha dard ke hamdard hojain toh kya hoga,
Ravadari ke jasbe sard hojain toh kya hoga,
Or ye laakho karodo paanch vakto ke namazi,
Agar such much mai dehshatgard hojain toh kya hoga. Unknown Poet

Kaam sab gair zaroori hain jo sab kerte hain,
Hum kuch nahi kerte ghazab kerte hain,
Or apki nazron mai suraj ki hai jitni azmat,
Hum charagon ka bhi ootna adab kerte hain. Unknown Poet

Aaj hum dono ko fursat hai chalo ishq karein,
Ishq hum dono ki zaroorat hai chalo ishq karein,
Issme nuksan ka khatra he nahi rehta hai,
Ye munafe ki tijarat hai chalo ishq karein,
Aap Hindu mai Musalman ye issai vo sikh,
Yar chodo ye siyasat hai chalo ishq karein. Unknown Poet

Kabhi Tipu kabhi Ashfaq ke darse sada deta,
Jo hai tarik vo tarik dohra ker batadeta,
Agar Hanuman hota mai toh seena cheer ker apna,
Hindustan ka naksha dikha deta. Unknown Poet

Bulandi dair tak kis shaqs ke hisse mai rehti hai,
Bohot oonchi imarat her ghadi khatre mai rehti hai. Unknown Poet

Ameeri reshami kumkhwab mai nungi nazar aai,
Garibi shan se taat ke parde mai rehti hai. Unknown Poet

Ajab duniya hai naa shayar yahan per sir oothate hain,
Jo shayar hain vo mehfil mai dari chadar oothate hain,
Or tumhare shahar mai maiyat ko sab kandha nahi dete,
Hamare gao mai chappar bhi sab milker oothate hain,
Innhe firqa-parasti mat sikha dena,
Ki ye bacche zami se choomker titli ke oothate parr hain. Unknown Poet

Ek ansu bhi hukumat ke liye khatra hai,
Tumne dekha nahi aansu ka samandar hona. Unknown Poet

Sirf itni bat per ussne hume balvai likha hai,
Ki hamare ghar ke ek bartan pe ISI likha hai. Unknown Poet

Iss shahar ki sabhi ladkiyan mujhe adab kerti hain,
Kyunki mai baccho ki kalai ke liye rakhi banata hu,
Vazahrat chand ghanto ki mahal minar se ooncha,
Mai Aurangzeb hu apne liye khichdi banata hu,
Tumhe hukumat milti hai toh Gujrat banta hai,
Mujhe hukumat milti hai toh Dilli banata hu,
Mai Aurangzeb hu apne liye khichdi banata hu. Unknown Poet

So jaate hain footpath pe akhbar bichake,
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khate. Unknown Poet

Garje hain gesuo ki ghatao ke samne,
Baccho ko bhoon dala hai maao ke samne,
Shaitan ek rat mai insan ho ban gai,
Jitne namak haram the kaptan hogai. Unknown Poet

Mai dehshatgard tha marne pe beta bol sakta hai,
Hukumat ke ishare per toh murda bol sakta hai,
Yaha per nafraton ne kaise-kaise gul khilai hain,
Tooti issmat bata deti hai dupatta bol sakta hai,
Hukumat ki tavajjo chahti hai ye hamari jali basti,
Adalat poochna chahe toh malva bol sakta hai. Unknown Poet

kai chehre abhi tak mooh zubani yad hain issko,
Kahi tum pooch mat lena ye goonga bol sakta hao,
Adalat mai gavahi ke liye lashein nahi aati,
Vo ankhe bujh chuki hain fir bhi chashma bolsakta hai,
Bohot si kursiyan iss mulk mai lasho pe rakhi hui hain,
Ye vo such hai jise jhoothe se jhootha bol sakta hai. Unknown Poet

Mujhko malum nahi hai siyasat kya hai,
Mai fakat itna batadunga mohobbat kya hai,
Or apne maa baap ki ji jaan se khidmat kerlo,
Fir kisi sant ki baba ki zaroorat kya hai. Unknown Poet

Ameer-a-shahar se takrar kerke dekhte hain,
Khiraj dene se inkar kerke dekhte hain,
Ye rehnuma jagane se bhi nahi jage,
Chalo avaam ko bedar kerke dekhte hain. Unknown Poet

Mere jaisa aadmi mere jaisa humnam oolta seedha vo chale mujhe kare badnam. Unknown Poet

kai gharo ko nigalne ke baad aati hai,
Madad bhi shahar ke jalne ke baad aati hai,
Agar dangaiyo pe tera bus nahi chalta,
Toh sunnle o hukumat hum tujhe namard kehte hain. Unknown Poet

Darbaro mai jab ohdo ke liye pairo pe ana gir jaati hai,
Komo ke sir jhookhjate hain chakrake haya gir jaati hai,
Ab tak toh hamari ankho ne sirf dohe tamashe dekhe hain,
Ya komm ke rehbar girte hain ya log sabha gir jaati hai. Unknown Poet

Dawa ki tarha khate jaeye gali guzurgo ki,
Jo acche fal hain unka zaika accha nahi hota. Unknown Poet

Thakan ko oodhke bistar mai jaake late gai,
Hum apni qabr-a-muqqarar mai jaake late gai,
Tamam umr hum ek doosre se ladte rahe,
Magar mare toh barabar mai jaake late gai. Unknown Poet

Apno ke darmiyan siyasat fizool hai,
Maksad na ho toh bagawat fizool hai,
Roza, namaz, ya jaake haj,
Maa baap na razi ho toh ibadat fizool hai. Unknown Poet

Havaniyat ka koi talapgar na hoga,
Zalim ka yahan koi tarfdar na hoga,
Arre islam ka sirf ek he kanoon laga doh,
Fir Bharat mai kabhi koi balatkar na hoga. Unknown Poet

Khoon ke rand mai dooba hua badan nikla,
Rooh se jism se jaan se watan watan nikla,
Or kasam hai mujhko meri qabr jab bhi khodi gai,
Her ek bar tiranga mera qafan nikla. Unknown Poet

Ek doh zakm nahi jism hai sara chalni,
Dard bechara pareshan hai kahan se oothe. Unknown Poet

Humhe ko qatil kahegi duniya hamara he qatl-a-aam hoga,
Humhe kue khodte fireenge hum he pe pani haram hoga,
Agar yehe zihniyat rahegi toh mujhe ye darr hai ki,
Iss sadi mai na koi Abdul Hameed hoga na koi Abdul Kalam hoga. Unknown Poet

Aaya farman jo nabi ka hai poora kareenge hum,
Tum vandemataram padho quran padheenge hum,
Or hantho mai tiranga liye seeno mai innqalab,
Sajda khuda ko kerke watan pe mareenge hum. Unknown Poet

Ye alag baat khamosh khade rehte hain,
Fir bhi jo log bade hain vo bade rehte hain,
Or aise darvesho se milta hai hamara sijra,
Jinke jooton mai kai taj pade rehte hain. Unknown Poet

Jalte ghar ko dekhne walon phoos ka chappar aapka hai,
Aag ke peeche tez hawa hai aage muqaddar aapka hai,
Usske qatl pe mai bhi choop tha mera number ab aaya,
Mere qatl pe aap bhi choop hain agla number aapka hai. Unknown Poet

Zindagi ke naam per jaan se guzarta kon hai,
Mout ki batein toh sab kerte hain marta kon hai,
Mai tere lashker ke muqabil mai akela hu magar,
Faisla maidan mai hoga marta kon hai.
Or
Zindagi ke naam per jaan se guzarta kon hai,
Mout ki batein toh sab kerte hain lekin marta kon hai,
Or mai tere lashker ke muqabil mai akela khada hu magar,
Faisla maidan mai hoga ke marta kon hai. Unknown Poet

Bol ki lobe azad hain tere fir mere sir pe ek khadi dhoop ki bauchar giri,
Mai jahan jaaker rooka tha vahi diwar giri,
Log kishton mai mujhe qatl kareenge shayad,
Sabse pehle meri awaz per talwar giri. Unknown Poet

Kisi bhi shai mai tere husn sa jamal nahi,
Tu bemisal hai teri koi misal nahi,
Shiqasht khagaya tujhse tu dost hai verna,
Dushmano mai toh itni abhi majal nahi. Unknown Poet

Mai sochta jab tumko kabhi jasbaat se khushboo aati hai,
Jab zikr tumhara kerta hu her baat se khushboo aati hai,
Parde mai kya mehsoos karein barish ka maza mitti ki mehak,
Jab gau mai apne hoti hai barsat toh khushboo aati hai. Unknown Poet

Her kadam per jo socheenge thak jaeenge,
Jo na socheenge vo door tak jaeenge,
Hum samandar hain humko na raste bata,
Hum musafir nahi jo bhatak jaeenge,
Dushmani yaar kis-kis se leenge bhala,
Humhe tere pehlu se sarak jaeenge. Unknown Poet

Tujhe duniya se jo itna gila hai,
Bata duniya ko tune kya diya hai,
Or jo itne pe tum itra raheho,
Ama itna toh humne khodiya hai. Unknown Poet

Her insa mai kahin na kahin khami hai:
Sone mai sugandh nahi,
Ganne mai phool nahi,
Chandan mai fal nahi hota,
Raja Dheergji bhi nahi hota,
Vidwan ke pass dhan nahi hota,
kisi ko muqammal jahan nahi milta,
Kahi zami toh kahi aasma nahi milta. Unknown Poet

Hindi hai hum watan hain Hindustan hamara:
Jo bhara nahi hai bhavo se behti jisme rusdhaar nahi,
Vo hirdaya nahi pathar hai jisme swadesh ka pyar nahi. Unknown Poet

Sabhi ko sabhi kuch hasil nahi milta,
Nadi ki her lehar ko sahil nahi milta,
Arre ye dil valo ki duniya hai ajab hai dastan isski,
Kisise dil nahi milta or koi dilse nahi milta. Unknown Poet

Mai aaena hu dikhaunga daag chehro ke,
Jise bura lage vo samne se hat jai. Unknown Poet

Kahin jhooth ki shakshiyat beh na jai,
Ye nafrat ki diwar chat beh na jai,
Hai ek maa ke aansu ka sailab sahib,
Kahin aapki saltanat beh na jai. Unknown Poet

Sabke dilon ki jaan banaya hai aapne,
Mushkil ko bhi aasan banaya hai aapne,
Kaise ada karunga mohobbat ka qarz mai,
Nomaan ko Nomaan banaya hai aapne. Unknown Poet

Ki mashre ki kuch aisi safai kerna hai,
Badai or na kisiki burai kerna hai,
Nijad nafrat se iss mulk ko dilane ko,
Hum sab ko milker rehnumai kerna hai. Unknown Poet

Ye kon keh raha hai ke talwar leke chal,
Duniya salaam thokegi kirdar leke chal,
Or kyu chal raha hai kisi sarkar ke peeche,
Tu aisa ban ki sath mai sarkar leke chal. Unknown Poet

Pyar mohobbat batoge acche bande hojaoge,
Keechad sab per fekoge toh khud gande hojaoge,
Or hume mitane ki koshish mai nasl fana hojaigi,
Hum suraj hain aankh milaoge toh andhe hojaoge. Or
Pyar mohobbat batoge acche bande hojaoge,
Keechad sab per fekoge toh khud gande hojaoge,
Or karo hum sab ko jodne ki koshish,
Hume todoge toh khud fana hojaoge. Unknown Poet

Rang laata hai lahu doston mazloomo ka,
Haal her hal mai zalim ka bura hota hai,
Aap her daur ki tareekh ootha ker dekhlein,
Zulm jab had se guzarta hai toh fana hojata hai. Unknown Poet

Ye bhi mohobbat ka taqaza hai ki:
Ganga jal se vazu kerke, Kerte hain hum namaze ada,
Isi ser zami pe jhook ke kertein hain hum sajda,
Mat samjho gaddar hume chahe khanjar se cheer doh seena hamara,
Niklegi aakhri cheekh yahi, Sare jahan se accha Hindustan hamara. Unknown Poet

Ye kon kehraha hai ki talwar deke dekh,
Duniya ko jeet laeenge dastar deke dekh,
Or kis tarha chalatein hain batadeenge tumhe,
Humko bhi doh roz ke liye sarkar deke dekh. Or
Ye kon kehraha hai ki talwar deke dekh,
Duniya ko jeet laeenge bandook deke dekh,
Or marjaeenge meet jaeenge apne Hinduastan ke khatir,
Hume bhi sarhado pe ladne ko bhej ke dekh. Unknown Poet

Ki mohobbat or chahat ka mohalla leke chalta hai,
Ye pagal apne lobe per naam-e-allah leke chalta hai,
Mehez iss bat per kurban tyjhpe a Nomaan,
Tu apne sath gaadi mai musalla leke chalta hai. Or
Ki mohobbat or chahat ka mohalla leke chalta hai,
Ye pagal apne lobe per Naam-E-Hindustan leke chalta hai,
Mehez iss bat per kurban tyjhpe a Nomaan,
Tu apne sath gaadi mai Tiranga lagake chalta hai. Unknown Poet

Dilon mai zeher nafrat gholne se kuch nahi hoga,
Teri gandi zubaa ke kholne se kuch nahi hoga,
Ragegi jab talak duniya azaan goonjegi masjid mai,
Kisi ke bolnese kuch nahi hoga. Unknown Poet

Kya haseenge hasaeenge jug ko hasane vale,
Baat ka batangad banadete hain zamane vale,
Sharm ki baat kahu ya dharm ki baat kahu,
Ek he jaise hain mandir or masjid ko girane vale. Unknown Poet

Allah valo Ram valo apne mazhab ko siyasat se bachalo,
Mandir masjid kabhi fursat mai bana lena,
Jo nafrat se toote hain vo ghar toh banalo,
Apni ghar ki chat ko bachake rakhna,
Apne padosiki ki diwar girane walon,
Ek he rehne doh shaheedoh ka tiranga jhanda,
Roz nai jhande mai danda fasane valon. Unknown Poet

Mandir mai dana chugker chidiya masjid mai pani peeti hai,
Maine suna hai Radha ki chundri koi Salma begum seeti hai,
Ek Rafi the jo her mehfil mai Raghupati Raghav gaate the,
Toh kahin Prem Chand Eidgah padate the,
Arre Krishn ke vakya sune Ruskhan ke mukh se,
Na Hindu dikhta hai na musalman dikhta hai,
Mujhe Bharat desh mai sirf insan dikhta hai. Unknown Poet

Shama jalake mehfil mai ye parvane aai hain,
Ki desh ke khatir jaan dene ye diwane aai hain,
Arre shikari toh bohot aai or chale gai,
Lagta hai jungle mai ye sher purane aai hain. Unknown Poet

Jusbe fauladise darte rehte hain,
Apni barbadise darte rehte hain,
Lucknow Dilli mai baithe kuch nakli log,
Sher ki azadise darte rehte hain. Unknown Poet

Ek benaam si chahat liye aaya hu,
Aap logo se mohobbat ke liye aaya hu,
Mai bade budho ki khidmat ke liye aaya hu,
Kon kehta hai huqumat ke liye aaya hu,
Mai khasker hindu muslim ko ek kerne aaya hu,
Toote bikharte hue rishte ko jodne aaya hu,
Ab toh iss kismat ko badla bhi nahi jaasakta,
Mai vo engineer hu vo jo vapas dilli bhi nahi jaasakta. Unknown Poet

Nadi ke ghat per bhi agar siyasi log bus jaain,
Toh piyase honth ek-ek boond pani ko taras jaain,
Ganimat hai mosam per hukumat chal nahi sakti,
Nahi toh sare baadal inhe ke kheton mai baras jain. Unknown Poet

Meri sanso per tumhara anginat ehsan hai,
Teri khushali rahe kehta mera emaan hai,
Meri sanso mai Tirange ki bulandi ki dua,
Mere Hindustan tujhper jaan bhi qurban hai. Unknown Poet

Baat aankho ki suno dil mai ootar jaati hai,
Zuban ka kya hai kabhi bhi mukar jaati hai,
Jo keh sako vo kaho zariya chahe jo bhi ho,
Zindagi ka kya hai guzarna hai guzarjaati hai. Unknown Poet

Sab faisle hote n ahi sikke oochal ke,
Ye dil ke mamle hian zara dekh bhal ke,
Or mobile ke daur ke aashiqo ko kya pata,
Rakh dete the kaise khat mai kaleja nikal ke. Unknown Poet

Kya khata mujhse hui jo khat ka aana band hai,
Aap hain mujhse khafa ye daakhana band hai,
Tum agar taish mai aaker mera khat faad bhi daalo,
Tumhare paau chumeenge mere tehreer ke tookde. Unknown Poet

Tu bebafa hai toh le buri khabar bhi sunnle,
Ki intezar mera doosra bhi kerta hai,
Or haseen logon se milne per aitraaz na ker,
ye jurm vo hai jo shadi shuda bhi kerta hai. Unknown Poet

Tumhe ehle siyasat ne kahin ka bhi nahi rakha,
Hamare sath rehte toh sukhanvar hogai hote. Unknown Poet

Raste niharti rahi maai tamaan raat,
Bacche school se seedhe jannat chale gai. Unknown Poet

Naya nizam hai bandishein elaan naya,
Hum fakhat lashker-a-shahi ke mafiq sochein,
Sahib-a-waqt ne ye huqm kiya hai jari,
Apne bacchose kaho mere mutabiq sochein. Unknown Poet

Adab ke naam per mehfil mai charbi bechne valon,
Abhi vo log zinda hain jo ghee pehchanlete hain. Unknown Poet

Khud se chalker nahi ye tarj-e-sukhan aaya hai,
Paau daabe hain buzurgo ke toh funn aaya hai,
Dil aisa ki seedhe kiye joote bhi badon ke,
Or zidd aisi ki khud taj oothaker nahi pehna. Unknown Poet

Konsi baat kahan kaise kahi jaati hai,
Ye salikha ho toh her baat suni jaati hai,
Or insan parakhne ki ye bhi ek nishani hai,
Guftagu batadeti hai kon kitna khandani hai. Unknown Poet

Mujhe her zulm ke aage tumhari dhaal banna hai,
Muhe Galib nahi banna mujhe Iqbal banna hai. Unknown Poet