Hindi Poetry Collection of famous poets
Jeene ke liye tera ek armaan hi kafi hai,
Dil ki kalam se likhi yeh dastan hi kafi hai,
Teero talwar ki tujhe kya jarurat hai haseena,
Katl karne ke liye teri muskan hi kafi hai.Unknown Poet
Beta jo chhalakta hai ghada,
Vo adha bhara hota hai,
Aur sona bhi bhatti mein padke hi khara hota hai,
Ek baat bata dun tujhe o mere dost,
Insaan paise se nahi karm se bada hota hai.Unknown Poet
Kya Kabhi Ullu Ko Raat Mein Sota Dekha Hai,
Kya Kabhi Machliyon ko Sabun Se Nahate Dekha Hai,
Aadate jo Lag Jaaye Kahaan wo Jaldi Badalti hai,
Kya Kabhi Kutte ki Dum ko Seedhe Hote Dekha Hai.Unknown Poet
Mausam Bhi Madhosh hai, Iss Husan ke jalwe ko dekh kar,
Lagta hai har taraf tumhari hi Leela Hai.Unknown Poet
Shurveero Mein Sabse Mahaan hai Khali,
Dushmano Ke Liye Maut ka Samaan hai Khali,
Aur Kya Kahun Iss Wrestling ke Yodha k Baare Mein,
Hindustaan ki Aan Baan aur Shaan Hai Khali.Unknown Poet
Nazar Badli Nazare Badle,
Kashti badli Kinaare Badle,
Soch Unchi Banda Shenshaah Shaho ka Shah,
Aur Sochi Neechi Aadmi Bikhari,
Haath Mein Totha Than Than Paal-Madan Gopal.Unknown Poet
Aaj cricket ki duniya ke vo sher hain Aaye,
Maidaan-e Jung mein jinhone Senkdo Itihaas Hain Banaaye,
Harbhajan aur Shoaib k vaar ko bach nahi sakta hai koi,
Sabh ho jaate hai Chakna Choor jo in dono se Takraye.Unknown Poet
Is tarah shaamat Meri Mehmaan Na ho,
Kismat mere Liye Itni Beimaan Na Ho,
World Cup mein Bhejne Se Pehle Ye Karam karna Ae Khuda,
Is Taraf Hum Na Ho, Us taraf Hindustaan Na ho.Unknown Poet
Aasman ki unchayiyo tak Parvaas kar sakti hai,
Apne Dum Pe wo Duniya Pe Raaz kar sakti hai,
Bete ki Chahat rakhne valo ko, Saniya ne bataya hai,
Peediya Betiyon Pe bhi Naaz kar sakti hai.Unknown Poet
Raag Bajta Hai Rang Bajta Hai,
Pyaar Ka Ang Ang Bajta Hai,
Aap Jab hansti hai Janab-e-wala Hazoor-e-wali,
Aise Lagta hai ki Rooh ka Jal Tarang Bajta hai.Unknown Poet
Parakhne se Rishta Nahi Badalta Rehta,
Kisi Bhi Aayine Mein Chehra Nahi Badalta Rehta,
Bade Logo ko Milne Mein Faasla Rakhna Guru,
Darya Jab Samandar Mein Mila Darya Nahi Rehta.Unknown Poet
Usoolon pe aanch aaye toh takrana zaroori hai,
Aur zinda ho toh zinda nazar aana zaroori hai.Unknown Poet
Har aarzoo hamesha adhuri nahi hoti,
Sacche rishton mein kabhi doori nahi hoti,
Aur jis dil mein tum jaisi mehbooba basti ho,
Uske liye to dhadkan bhi jaroori hoti hai.Unknown Poet
Hindi hai hum watan hain Hindustan hamara:,
Jo bhara nahi hai bhavon se,
Behti jis mein rasdhar nahi,
Vo hruday nahi hai pathar hai,
Jis mein swadesh ka pyar nahi.Unknown Poet
Surkhroo hota hai insaan Aaftein Aane ke Baad,
Rang laati hai Hina Pathar pe Ghis Jaane k Baad.Unknown Poet
Siyaasat Ki Mandhi Badi Hi Nasheeli Hai,
Issi Mandi Mein Sabney Madiraa Pi Li Hai,
Sirf Dalaalo Ke Kamarbandh Pukhta Hain,
Aam Aadmi Ki Dhoti Toh Yaaro Dheeli Hai! Thoko Tali!!Unknown Poet
Paani Ki Boond kahi Tikti Naahin,
Imandari Guru Mujhe kahin dikhti nahin,
Kharidaron ki Mandi Mein Khada hai Siddhu,
Jitni Marzi Boli Laga, Kuch Cheezein Aisi jo Bikti Naahin.Unknown Poet
Jis Tarah Aggan Diyan Dheran Nu Koi Khaa Nahi Sakda,
Prithvi Nu Ucha Utha Nahi Sakda,
Saagar Nu Jiddan Koi Suka Nahi Sakda,
Parvat Himalya Jiwen koi Hila Naahi Sakda,
Ussey Tarah Punjbiya De Jazbe Nu Koi Rehndi Duniya Tak Mitta
Nahi Sakda.Unknown Poet
Beauty Parlor Chali Jaati hai Aaye Din wo,
Beauty Parlor Mein Unka Maqsad Hai Masale Hood ho jaana,
Magar Ye Baat kisi Begum ki Samajh Mein kyu Naahi Aati,
Ki Mumkin nahi hai Kishmish ka Fir se Angoor Ho Jaana.Unknown Poet
Suraj Hoon Zindagi ki Chamak Chorh Jaaunga,
Fir Laut Aane ki Khanak Chorh Jaaunga,
Mein Sabki Aankhon se Aansoo Samet kar,
Sabke Dilo Mein Apni Jhalak Chorh Jaaunga.Unknown Poet
Duniya mai sabse bada rog mere bare mai kya kaheenge log.Unknown Poet
Jab aapki koi aalochna kare toh hamesha yad rakhna aam ke paid ko pathar marte hain log neem ke paid ko koi pathar nahi marta.Unknown Poet
Naujavan kehta hai, "Dariya hain hume apna hunar malum hai guzreenge jidher se rasta hojaiga".Unknown Poet
Mushkil Raahon Mein Bhi Aasan Safar Lagta hai,
Shayad Ye Meri Maa Ki Duauo ka Asar Lagta hai.Unknown Poet
Kadam Yun hi Dagmaga gaye Raaste mein,
Varna Sambhalna Hum Bhi Jaante The,
Thokar Bhi lagi toh Uss Pathar se,
Jise Hum Apna Maante The.Unknown Poet
Hai Andhera Bahut Ab Suraj Nikalna Chahiye,
Jaise Bhi Ho Ye Mausam Badalna Chahiye,
Aur Jo Chehre Roz Badalte hai Naqabo Ki Tarah,
Ab Janaza Dhoom Se Unka Nikalna Chahiye.Unknown Poet
Dua hai Ki Kamyabi ke har shikhar pe aap ka naam hoga,
Aapke har kadam par duniya ka salam hoga,
Himmat se mushkilon ka samana karna hamari dua hai,
Ki waqt bhi ek din aapka gulam hoga.Unknown Poet
Saans Tham Jati Hai Par Jaan Nahi Jati,
Dard Hota Hai Par Aawaz Nahi Aati,
Ajib Log Hai Is Zamane Mein,
Koi Bhul Nahi Pata Aur Kisi Ko Yaad Nahi Aati.Unknown Poet
Naa Jaane Kaun Sa Haadsa Akhbaar Mein Aa Jaaye,
Naa Jaane Kaun Sa Sikka Baazar Mein Aa Jaaye,
Arrey Chor Uchakko K Saath Bhi Dosti Karlo Yaaro,
Na Jaane Kaun Kal Sarkar Mein Aa Jaaye.Unknown Poet
Kuch Toh Rahi Hongi Inki Bhi Majburiyan,
Yun Chah k koi Bewafa Naahi Hota,
Kuch Manzilo k Mukaam Nahi hote,
Kuch Rishto k Naam Nahi hote,
Pata Hote Kuch Savaalo k Jawab,
Toh Sabh Itne Pareshan nahi Hote.Unknown Poet
Aaj Is Mausam ko dekho, suraj Gulabi aur Aasman Neela Hai,
Deewano ke Dilo ka purja purja hua Dheela hai.Unknown Poet
Muskurayein Aap Aur Hum To Fiza Badal Jaye,
Baatein Karein Hum Sang Sang To Mausam Badal Jaye,
Itne Dilkash Hai Hum Sab Ke Andaz,
Ki Chalenge Saath Saath To Sarkar Badal Jaye.Unknown Poet
Mai dehshatgard tha marne pe beta bol sakta hai,
Hukumat ke isshare pe toh murda bolsakta hai,
Yahan per nafraton ne kaise kaise gul khilai hain,
Looti asmat batadegi dupatta bolsakta hai,
Kai chehre abhi tak moohzubani yad hain issko,
Kahin tum pooch mat lena ye goonga bolsakta hai,
Bahut sit kursiyan iss mulk mai lashon pe rakhi hain,
Ye vo such hai jise jhoothe se jhootha bolsakta hai,
Siyasat ki kasauti per parakhiye mat bafadari,
Kisi din intaqaman mera gussa bol sakta hai.Unknown Poet
Labon pe muskurahat or dil mai bezari nikalti hai,
Bade logon mai aksar ye bimari nikalti hai,
Maine fal dekhke insano ko pehchana hai,
Jo bohot meethe ho andar se sade hote hain.Unknown Poet
Ajab duniya hai na shayar yahan per sir oothate hain,
Jo shayar hain vo mehfil mai dari chadar oothate hai,
Tumhare shehar mein mayyat ko sab kandha nahin dete,
Humare gaaon mein chhappar bhi sab mil kar uthate hain. Unhe firkhaparashti mat sikha dena,
Ki ye bacche zami se choomker titli ke pankh oothate hain.Unknown Poet
Sare hawa mai ghol di hai nafratein or hawas ahal-a-siyasat ne,
Magar na jaane kyu pani kue ka aaj bhi meetha nikalta hai.Unknown Poet
Mohabbat karne waalon mein ye jhagda daal deti hain,
Siyasat dosti ki jad mein mattha daal deti hain,
Tawayaf ki tarah apni galatkari ke chehre par,
Hukumat mandir aur masjid ka parda daal deti hain,
Hukumat muhn bharai ke hunar se khub waakif hai,
Ye har kuutte ke aage shahi tukda daal deti hain,
Ye chidiya bhi meri beti se kitni milti julti hai,
Kahin bhi shakh-e-gul dekhe to jhoola daal deti hain,
Kahan ki hizarten, kaisa safar, kaisa juda hona,
Kisi ki chaah pairon me dupatta daal deti hain,
Bhatakti hai hawas din raat sone ki dukaano mein,
Gareebi kaan chhidwaati hain tinka daal deti hain,
Hasad ki aag mein jalti hain saari raat wo aurat,
Magar soutan ke aage apna jhoota daal deti hain.Unknown Poet
Siyaasi Aadmi Ki Shakl To Pyari Nikalti Hai,
Magar Jab Guftagoo Karta Hai Chingari Nikalti Hai,
Labon Par Muskurahat, Dil Mein Bezari Nikalti Hai,
Bade Logon Mein Hi Aksar Ye Beemari Nikalti Hai.Unknown Poet
Hamari dosti se dushmani sharmayi rahti hai,
Hum Akbar hain humare dil me Jodhabai rahti hai,
Kisi ka poochna kab tak hamari raah dekhoge,
Hamara faisla jab tak ki ye binaayi rahti hai,
Meri sohbat me bhejo taki iska dar nikal jaye,
Bahut sahmi hui darbaar me sacchayi rahti hai,
Gile sikve jaruri hain agar sacchi mohabbat hai,
Jahaan pani bahut gahra ho thodi kaai rahti hai,
Bas ik din foot kar roya tha mai teri mohabbat me,
Magar aawaz meri aajtak bharrayi rahti hai,
Khuda mehfooz rakhe mulk ko gandi siyasat se,
Sharaabi devaron ke beech me bhaujayi rahti hai.Unknown Poet
Samaaji bebasi har shehar ko maqtal banaati hai,
kabhi naksal banati hai kabhi chambal banati hai,
Zara si baat hai lekin hawa ko kaun samjhaaye,
diye se meri maa mere liye kaajal banati hai,
Khilonon ki dukaanen kyon mujhe aawaaz deti hain,
bata aey muflisi tu kyon mujhe paagal banaati hai,
Suna hai jab se tayy hote hain rishte aasmaanon mein,
woh pagli ungliyon se roz-o shab baadal banaati hai,
Hawas mehlon mein reh kar bhi bahut maayoos rehti hai,
Qana-at ghaas ko chhoo kar usey makhmal banaati hai,
Bahut dushwaar hai pyaare ghazal mein naadirakari,
zara si bhool achchhe sher ko mohmal banaati hai.Unknown Poet
Mainne dekha hai jahan mitti ke ghade rahate hain,
kad men chhote hon magar log bade hote hain,
Bhatakti hai havas din rat sone ki dukaanon mein,
Garibi kaan chhidavaati hai tinka dal deti hai.Unknown Poet
So jaate hain futapaath pe akhabaar bichha kar mazadoor kabhi nind ki goli nahin khate.Unknown Poet
Jaha tak ho saka humne tumhe parda karaya hai,
Magar ae aansuo tumne bahut ruswa karaya hai,
Chamak yu hi nahi aati hai khuddari ke chehre par,
Ana ko humne do do waqt ka faaka karaya hai,
Badi muddat pe khayi hai khusi se gaaliyan humne,
Badi muddat pe usne aaj muh meetha karaya hai,
Bichadna uski khwahish thi na meri aarjoo lekin,
Jara si jid ne is aangan ka batwara karaya hai,
Kahi pardesh ki ranginiyon me kho nahi jana,
Kisi ne ghar se chalte waqt ye wada karaya hai,
Khuda mahfooj rakhe mere bacchon ko siyasat se,
Ye wo aurat hai jisne umar bhar pesha karaya hai.Unknown Poet
Siyasat se adab ki dosti bemel lagti hai,
kabhi dekha hai patthar pe bhi koi bel lagti hai.,
Or,
Hukoomat munh bharaai ke hunar se khoob vaakaif hai,
Ye har kutte ke aage shahi tukada dal deti hai.Unknown Poet
Agar dangaiyon par tera bas nahin chalta,
Toh sun le ai hukoomat ham tumhen namard kahate hain.Unknown Poet
Mazahabi majadoor sab baithe hain inako kaam do,
Ek imarat shahar men kafi purani aur hai,
Khamoshi kab chikh ban jaaye kise maaloom hai,
Julm kar lo jab talak ye bezabani aur hai.Unknown Poet
Bas itani si baat par usane hamen balavaai likkha hai,
Hamare ghar ke baratan pe aaiesaai likkha hai.Unknown Poet
Jab bhi kashti mere sailaab men aa jaati hai,
Maan dua ban kar mere khavab men aa jaati hai.Unknown Poet
Doston maan ke aage yoon kabhi khul kar nahin rona,
Jahan buniyad ho, itani nami achchhi nahin hoti.Unknown Poet
Sirfire log hume dushmane jaa kehte hain,
Hum jo iss mulk ki mitti ko bhi maa kehte hain.Unknown Poet
Maine sote hue ponche the kisi din aansu,
Muddaton maa ne nahi dhoya dupatta apna.Unknown Poet
Labon pe usske kabhi baddua nahi hoti,
Bus ek maa hai mujhse khafa nahi hoti.Unknown Poet
Iss tarha mere gunaho ko vo dhodeti hai,
Maa bahut gusse mai hoti hai toh ro deti hai.Unknown Poet
Ye aisa Qarz hai jo mai ada ker he nahi sakta,
Mai jab tak ghar na lautu meri maa sajde mai rehti hai.Unknown Poet
Barbad kerdiya hume pardesh ne magar,
Maa sabse kehrahi hai beta maze mai hai.Unknown Poet
Utra Huwa Gulaab Ka Chehra Na Padh Sake,
Wo Dost Kya Jo Dost Ka Likha Na Padh Sake,
Chaahe Kisi Bhi Bhasha Mein Likhe Krishn ke Khat,
Mumkin Nahi Ki Usko Sudaama Na Padh Sake.Unknown Poet
Chalti phirti hui ankhon se azaan dekhi hai,
Main ne jannat to nahin dekhi hai maan dekhi hai.Unknown Poet
Ek aansu bhi hukumat ke liye ḳhatra hai,
Tum ne dekha nahin ankhon ka samundar hona.Unknown Poet
Yahin iman likhte hain yahin iman padhte hain,
Hume kuch or mat padhvao hum quran padhte hain,
Yahin ke sare manzar hain yahi ke sare mausam hain,
Vo andhe hain vo inn ankho mai Pakistan dekhte hain.Unknown Poet
Banke ek hadsa bazar mai aajaiga,
Jo nahi hoga vo akhbar mai aajaiga,
Chor chakko ki karo kadr ki malum nahi,
Kon kab konsi sarkar mai aajaiga.Unknown Poet
Log her modh pe rook-rook ke sambhalte kyu hain,
Itna darte hain toh fir ghar se nikalte kyu hain,
Modh hota hai javani ka sambhalne ke liye,
Or sab log yahin aake fisalte kyu hain.Unknown Poet
Kashti tera naseeb chamakdar kerdiya,
Iss paar ke thapedon ne uss par kerdiya,
Afvah thi ki meri tabiyat kharab hai,
Logon ne pooch pooch ke bimar kerdiya.Unknown Poet
Suraj, sitaare, chaand mere saath me rahe,
jab tak tumhare haath mere haath me rahe,
Shaakhon se toot jaaye wo patte nahi hain hum,
Aandhi se koi kah de ki aukaat me rahe.Unknown Poet
Tufaano se aankh milayon, saelabon pe war karo,
Mallaho ka chakkar chodo, taer kar dariya paar karo,
Phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyaapar karo,
Ishq khata hain, to ye khata aek baar nahi, sau baar karo.Unknown Poet
Ye paid ye patte ye shakhein bhi pareshan ho jain,
Agar parinde bhi hindu or musalman hojain.Unknown Poet
Itni Si Baat Hawaon Ko Bataye Rakhna,
Roshni Hogi Chiraago Ko Jalaye Rakhna,
Lahoo Dekar Jiski Ki Hai Hifaazat Humne,
Aise Tirange Ko, Sada Apne Dil Mein Basaye Rakhna.Unknown Poet
Mil sake asani se usski khuwaish kise hai,
zidd toh usski hai jo muqaddar mai likha he nahi.Unknown Poet
Mai har kisi k liye apne aap ko accha sabit nahi kr skta,
Lekin mai unke liye behtareen hu, Jo mujhe Samajhte hai.Unknown Poet
Badshan nahi bazigar se pehchante hain log,
Kyunki,
Hum raniyon ke samne jhookha nahi kerte,
Mai bandook or gitar,
Dono chalana janta hu,
Tai tumhe kerna hai ki,
Aap kon si dhunn per nachoge.Unknown Poet
Na kisi se irsha na kisise koi hodh,
Meri apni manzil meri apni daud.Unknown Poet
Konsi bat kaha kaise kahi jaati hai,
Ye salikha ho toh her bat suni jaati hai,
Or insan parakhne ki ye bhi ek nishani hai,
Guftagu bata deti hai kon kitna khandani hai.Unknown Poet
Jo fasadat aag ke sholon ko hawa dete hain,
Aise hantho mai hukumat nahi dekhi jaati,
Mulk khatre mai agar hai toh oothale talwar,
Aise mouke per sharafat nahi dekhi jaati.Unknown Poet
Such bolne ke taur-tarike nahi rahe,
Pathar bahut hain shahar mai shishe nahi rahe,
Vaise toh hum vahi hain jo pehle the doston,
Halat jaise pehle the vaise nahi rahe,
Khud mar gaya tha jinko bachane mai pehle baap,
Abke fasad mai vahi bacche nahi rahe,
Dariya ootar gaya hai magar behgai hain pull,
uss par aane-jane ke raste nahi rahe,
Sir ab bhi katrahe hain namazon mai doston,
Afsos toh ye hai ki vo sajde nahi rahe.Unknown Poet
Manzil pe na pahunche usse rasta nahi kehte,
Doh-Char kadam chalne ko chalna nahi kehte,
Ek hum hain ki gairon ko bhi kehdete hain apna,
Ek tum ho ki apno ko bhi apna nahi kehte,
Kum himmati khatra hai samandar ke safar mai,
Toofano ko hum doston khatra nahi kehte,
Banjai agar baat jo sab kehte hain kya kya,
or bat bigad jai toh kya kya nahi kehte.Unknown Poet
A Khud fir ye azab or ye sitam kiske hain,
Tu toh iss bat se vakhif hai ke hum kiske hain.Unknown Poet
Aag lagana meri fitrat mai nahi hai,
Meri sadki mai log jalein toh mera kya kasoor.Unknown Poet
Dariya banke kisiko doobona asan hai,
Magar zariya banker kisiko bachain toh koi bat bane.Unknown Poet
Muskurahate insan ki kabhi kabhi jaibein tatolna,
Ho sakta hai rumaal gila mile usska.Unknown Poet
Zindagi ki rahon mai muskurate raho hamesha,
Kyunki udhas dilon ko hamdard toh milte hain per humsafar nahi.Unknown Poet
Khat jo likha maine insaniyat ke pate per,
Dakiya he chal basa shahar dhoondhte-dhoondhte.Unknown Poet
Mai tumhe issliye salah nahi deraha ki mai ziada samajhdar hu,
Baldi issliye ki maine zindagi mai galatiyan tumse ziada ki hain.Unknown Poet
Jo log mujhe samajh nahi sakte unhe poora adhikaar hai mujhe galat samajhne ka.Unknown Poet
Girte hain sajdon mai hum apni he hasraton ki khatir,
Agar girte hisq-a-khuda mai toh koi hasrat adhoori na rehti.Unknown Poet
Sahib yu na jhanko garib ke dil mai,
Yahan hazaron hasratein belibaz rehti hain.Unknown Poet
Safar mai mushkilein aai toh jurrat or badhti hai,
Koi jab rasta roke toh himmat or badhti hai,
Meri kamzoriyon per jab koi tankeed kerta hai,
Vo dushman kyu na ho usse mohobbat or badhti hai,
Agar bikne pe aajao toh ghat jaate
hain daam aksar,
Na bikne ka irada ho toh qimat or badhti hai.Unknown Poet
Jalte ghar ko dekhne valon phoos ka chappar aapka hai,
Aapke peeche tez hawa hai aage muqaddar aapka hai,
Usske qatl pe mai bhi choop tha mera number ab aaya,
Mere qatl pe aap bhi choop hain agla number aapka hai.Unknown Poet
Her mussarat bhi vahi gum bhi vahi deta hai,
Dhoop or chav ke mosam bhi vahi deta hai,
Zakhm lagte he nahi usski ijazat ke baghair,
Or fir zakhmo ko marhum bhi vahi deta hai.Unknown Poet
Samajh mai kuch nahi aata yaki kispe kiya jai,
Gala toh bhai bhi dushman se milker kaat leta hai,
Or bulandi per pahunchne ki dua kis ke liye mangu,
Jise sir pe baithata hu vahi sir kaat leta hai.Unknown Poet
Dil me chhipi yado se sabaru tujhe,
Tu dikhe to sahi aankho me utaru tujhe,
Tere naam ko mere labo pr aeise sajaya hai,
So bhi jau to khwavo me pukaru tujhe.Unknown Poet
Mere buzurgon ka saya tha jab talak mujhper,
Mai apni umar se chota dikhai deta raha.Unknown Poet
Mere guzugon ko isski khabar nahi shayad,
Panapsaka nahi jo paid bargadon mai raha,
Ishq mai rai buzurgon se nahi lijaati,
Aag bujhte hue choolho se nahi li jaati.Unknown Poet
Jo log kum ho toh kandha zaroor dedena,
Sarhane aaker magar bhai mat kerna,
Aapne khoolke mohobbat nahi ki hai humse,
Aap bhai nahi kehte hain miyan kehte hain,
Kanton se bachgaya tha magar phool chubh gaya,
Mere badan mai bhai ka trishul chubh gaya.Unknown Poet
Abhi zinda hain maa meri mujhe kuch bhi nahi hoga,
Mai ghar se jab nikalta hu dua bhi sath chalti hai.Unknown Poet
A andhere dekhle mooh tera kala hogaya,
Maa ne aankhein kholdi ghar mai ujala hogaya.Unknown Poet
Labon per usske kabhi baddua nahi hoti,
Bus ek maa hain jo mujhse khafa nahi hoti.Unknown Poet
Amiri resham-o-kumkhwab mai nangi nazar aai,
Garibi shan se ek taat ke parde mai rehti hai,
Mai insan hu bahak jana meri fitrat mai shamil hai,
Hawa bhi ussko chuke dair tak nashe mai rehti hai. Mohobbat mai parakhne janchne se faida kya hai,
Kami thodi bahut her ek ke shazar mai rehti hai,
Ye apne aapko takseem kerlete hain soobo mai,
Kharabi bus yahi her mulk ke nakshe mai rehti hai.Unknown Poet
Mohobbat kerne valon mai jhagda dal deti hai,
Siyasat dosti ki jadd mai matha dal deti hai,
Tavayaf ki tarha apne galat kamo ke chehre per,
Hukumat mandir-masjid ka parda dal deti hai.Unknown Poet
Bichadna usski khuwaish thi na meri aazoo lekin,
Zara si zidd ne iss aangun ka batwara karaya hai,
Kahin pardes ki ranginiyon mai kho nahi jaana,
Kisi ne ghar se chalte waqt ye wada karaya hai,
Khuda mehfuz rakhe mere baccho ko siyasat se,
Ye vo aurat hai jisne umr bhar pesha karaya hai.Unknown Poet
Baap ka rutva bhi kum nahi hota lekin,
Jitni maa hain farishton ki tarha hoti hain.Unknown Poet
Hum sayadar paid zamane ke kaam aai,
Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aai,
Talwar ki niyam kabhi fekna nahi,
Mumkin hai dushmano ko darane ke kaam aai,
Kaccha samajh ke bech na dena makan ko,
Shayad kabhi ye sir ko chupane ke kaam aai.Unknown Poet
Sabhi tiyohar miljul ker manate the vahan jab the,
Divali chod aai hain dushara chod aai hain,
Hume suraj ki kirne issliye taklif deti hain,
Avadh ki sham Kashi ka savera chod aai hain,
Gale milti hui nadiyan gale milte hue mazhab,
Allhabad mai kaisa nazara chod aai aai hain.Unknown Poet
Bada gehra tallukh hai siyasat se tabahi ka,
Koi bhi shahar jalta hai toh Dilli muskurati hai.Unknown Poet
Hum vaar akele he saha kerte hain "Rana",
Hum sath mai leker kahin lashker nahi jaate.Unknown Poet
Moula ye tamann hai ki jab jaan se jaau,
Jis shan se aaya hu usi shan se jaau,
or ker jau kuch aisa ki sab yad kare,
dilon mai bus sabhi ke jagah bana jaau.Unknown Poet
Kai gharon ko jalne ke bad aati hai,
Madad bhi shahar ke jalne ke bad aati hai.Unknown Poet
Siyasi var bhi talwar se kuch kum nahi hota,
Kabhi Kashmir jata hai kabhi Bengal katta hai.Unknown Poet
Nakamiyon ke bad bhi himmat vahi rahi,
OOper ka doodh pike bhi taqat vahi rahi,
Shayad ye nekiyan hain hamari ki her jagah,
Dastar ke baghair bhi izzat vahi rahi,
Mai sir jhookhake shahar mai chalne laga magar,
Mere mukhalifin mai dehshat vahi rahi,
Jo kuch mila tha maal-a-ganimat mai loot gaya,
Mehnat se jo kamai thi daulat vahi rahi.Unknown Poet
Mai her ezaz ko apne hunar se kum samajhta hu,
Hukumat bheekh dene ko bhi bharpai samajhti hai,
Hamari bebasi per ye daro-diwar rote hai,
Hamari chatpatahat qaid-a-tanhai samajhti hai,
Agar tu khud nahi aata toh teri yad he aai,
Bahut tanha hume kuch din se tanhai samajhti hai.Unknown Poet
Ye such hai charpai saap se mehfuz rakhti hai,
Magar jab waqt aajai toh chappar se nikalta hai.Unknown Poet
Jo hukm deta hai vo illtija bhi kerta hai,
Ye aasman kahin per jhookha bhi kerta hai,
Or mai apni haarpe naadim hu iss yakin ke sath,
Ki apne ghar ki hifazat khuda bhi kerta hai,
Or tu bewafa hai toh le ek buri khabar sunle,
Ki intizar mera doosra bhi kerta hai,
Or haseen logose milne pe aitraaz na ker,
Ye jurm vo hai jo shadishuda bhi kerta hai,
Hamesha gusse mai nuksan he nahi hote,
Kahin-kahin ye bahut faida bhi kerta hai.Unknown Poet
Sojate hain futpath pe akhbar bichaker,
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khate,
Bacche bhi garibi ko samajhne lage shayad,
kab jaag bhi jaate hain toh sehri nahi khate,
Dawat toh badi cheez hai hum jaise kalandar,
Her ek ke paison ki dawa bhi nahi khate.Unknown Poet
Bulava jab bade darbar se aata hai doston,
Toh fir nakam hojaate hain darbari bachane mai.Unknown Poet
Udke yu chat se kabutar mere sab jaatein hain,
Jaise iss mulk se mazdoor arab jatein hain,
Fir kabutar ki bafadari pe shaq mat kerna,
Vo toh ghar ko isi minar se pehchanta hai.Unknown Poet
Hukumat ka her ek inam hai bandooksazi per,
Mujhe kaise milega mai toh baisaki banata hu,
Vazahrat chand ghanton ki mahal minar se ooncha,
Mai Aurangzeb hu apne liye khichdi banata hu,
bus itni illtija hai tum isse barbad mat kerna,
Tumhe iss mulk ka malik mai jeete-jee banatahu,
Mujhe iss shahar ki sab ladkiyan adab kerti hain,
Mai baccho ki kalai ke liye rakhi banata hu,
Mujhe a zindagi ab qaidkhane se guzarna hai,
Tujhe mai issliye dukh-dard ka aadi banatahu,
Mai apne gau ka mukhiya bhi hu baccho ka qatil bhi,
Jalaker doodh kuch logon ki khatir ghee banata hu.Unknown Poet
Chalon milte hain mil-julker watan per jaan dete hain,
Bahut asan hai kamre mai vandematram kehna.Unknown Poet
Zaroorat se ana ka bhari pathar toot jaata hai,
Magar fir admi bhi andar-andar toot jaata hai,
Sharif insan akhir kyu chunav har jaata hai,
Kitabon mai toh ye likha tha Ravan har jaata hai,
Kahin pe baithke husna kahin pe ro dena,
Mai zindagi bhi badi dogli guzarta hu,
Kisi ko dekhker rodena jusna nahi accha,
Ye vo aansu hain jinse takht-a-sultani palata hai,
Sipahi morche se umr bhar piche nahi hatta,
Sisasadan zaban deker baasanai palatta hai Shakar firkaparashti ki tarha rehti hai naslon tak,
Ye bimari karele or jamun se nahi jaati,
Mohobbat ki kahani mukhtasar hoti toh hai lekin,
Kahin mujhse nahi jaati suni unse nahi jaati.Unknown Poet
Hamari bebasi dekho unhe humdard kehte hain,
Jo urdu bolne valon ko dehshatgard kehte hain,
Madine tak mai humne mulk ki khatir dua mangi,
Kisise poochle issko watan ka dard kehte hain. Agar dungaiyon per tera koi bus nahi chalta,
Toh fir sunle hukumat hum tujhe namard kehte hain,
vo apne apko such bolne se kis tarha roke,
Vazarat ko jo apni jootiyon ki gard kehte hain,
Shahidon ki zami hai jisko Hindustan kehte hain,
Ye banjar hoke bhi buzdil kabhi paida nahi kerti.Unknown Poet
Kisi ke zakhm per chahat se patti kon bandhega,
Agar behne nahi hongi toh rakhi kon bandhega,
Jahan ladki ki izzat lootna ek khel banjai,
Vahan per a kabutar tere chitthi kon bandhega,
Ye bazare siyasat hai yahan khuddariyan kaisi,
Sabhi ke hanth mai kasa hai muthi kon bandhega,
Tukhari mehfilon mai hum bade boodhe zaroori hain,
Agar hum he nahi honge toh pagdi kon bandhega.Unknown Poet
Nahin hoti agar barish toh pathar hogai hote,
Ye sare lehelhate khet banjar hogai hote,
Tere daman se sare shahar ko sailab se roka,
Nahin toh mere ye ansu samandar hogai hote,
Tumhe ehle siyasat ne kahin ka bhi nahi rakha,
Hamare sath rehte toh sukhanwar hogai hote,
Agar adab kerlete toh mansad milgai hoti,
Agar lehja badal dete governor hogai hote,
Samaji bebasi her shahar ko makhtal banati hai.Unknown Poet
Shohrat na ata karna maula, daulat na ata karna maula,
Bas itna ata karna chahe jannat na ata karna maula,
Shammae watan ki lau par jab kurban patanga ho,
Hothon par ganga ho, haathon me tiranga ho,
Bas ek sada hi sune sada barfeeli mast hawaon main,
Bas ek dua uthe sada jalte tapte sahraaon main,
Jeete ji iska maan rakhe, markar maryaada yaad rahe,
Hum rahe kabhi na rahe magar, iski saj dhaj aabad rahe,
Godhara na ho, Gujrat na ho, insaan na nanga ho,
Hoton par ganga ho, haaton main tiranga ho,
Geeta ka gyaan sune na sune, is dharti ka yashgaan sune,
Ham shbd-kirtan sun na sake, Bharat mata ka jay-gaan sune,
Parwar-digaar main tere dwaar par le pukaar ye kahata hoon, Chaahe ajaan na sune kaan par jay jay hindustaan sune,
Jan-man mein uchchhal desh prem ka jaladh Tiranga ho,
Hontho.n par Ganga ho, haatho.n mein Tiranga ho.Unknown Poet
Khamosh lub hain jhookin hain palkein dilon mai oolfat nai nai hai,
Abhi na aaigi neend na humko abhi na tumko sukoo milega,
Abhi toh dhadkega dil ziada abhi toh mohobbat nai nai hai,
Bahar ka aaj pehla din hai chalon chaman mai tahalke aai,
Faza mai khushboo nai nai hai gulon mai rangat nai nai hai,
Jo khandani rahees hain vo mijaz rakhte hain narm apna,
Tumhara lehja bataraha hai tumhari daulat nai nai hai,
Zarasa kudrat ne kya nawaza ke aake baithe ho pehli suf mai,
Abhi kyu oodhne lage hawa mai abhi toh shohrat nai nai hai,
Bamo ki barsat horahi hai purane janbaz so rahe hain,
Gulam duniya ko ker r aha hai vo jiski taqat nai nai hai.Unknown Poet
Bura ho waqt toh sab he azmane lagte hain,
Badon ko chote bhi ankhe dikhane lagte hain,
Nai amiron ke ghar bhoolker bhi mat jana,
Her cheez ki kimat batane lagte hain.Unknown Poet
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai,
Jis daal pe baithe ho wo toot bhi skti hai.Unknown Poet
Tu mera kuqaddar meri taqdeer nahi hai,
Vo khwab ho jis khwab ki tabeer nahi hai,
Hum log apni natiyo-hind ki jannat per karein jaaz,
Duniya mai koi doosra Kashmir nahi hai.Unknown Poet
Apne shahar ki taza hawa leke chala tha,
Her dard ki yaron mai dawa leke chala tha,
Mujhko yakin hai ki rahunga mai kamyab,
Kyunki mai ghar se maa ki dua leke chala tha.Unknown Poet
Mera charag hawa ke khilaf jalta hai,
Isi liye to zamane ko aaj khalta hai,
Jo tum ne aag lagayi thi tum to bhool gaye,
Hamare dil se abhi tak dhuaa nikalta hai,
Usi ko khalne lagi roshni mere ghar ki,
Mere charag se jis ka charag jalta hai,
Sambhal sambhal ke chadho sidiya mohabbat ki,
Yaha se gir ke kaha aadmi sambhalta hai,
Zamana yu to bahut khush hai meri shohrat se,
Kuch aise log bhi hai jin ka dum nikalta hai,
Guroor tera munasib nahi tarakki par,
Ki shaam aate hi suraj zarur dhalta hai.Unknown Poet
Sare hawa mai ghol di hai nafratein or hawas al-a-siyasat ne,
Magar na jaane kyu kue ka pani aajtak meetha nikalta hai.Unknown Poet
Manzil na de charag na de housla toh de,
Tinke ka he sahi tu magar asra toh de,
Maine ye kab kaha ke mere haq mai ho jawab,
Lekin khamosh kyu hai tu koi faisla toh de,
barso mai tere naam pe khata raha fareb,
Mere khuda kahan hai tu apna pata toh de,
Beshaq mere naseeb pe rakh apna ikhtiyar,
Lekin mere naseeb mai kya hai bata toh de.Unknown Poet
Ek aansu bhi hukumat ke liye ḳhatra hai,
tum ne dekha nahin ansuo ka samundar hona.Unknown Poet
Nai hawao ki sohbat bigad deti hai,
Kabutaron ko khooli chat bigad deti hai,
Jo jurm kerte hain itne bure nahi hote,
Saza na deke adalat bigad deti hai.Unknown Poet
Yahin eman likhte hain yahin eman padhte hain,
Hume kuch or mat padhvao hum quran padhte hain,
Yahin ke sare manzar hain yahin ke sare mosam,
Vo andhe hain jo inn ankho mai Pakistan padhte hain.Unknown Poet
Iss duniya ne meri wafa ka kitna ooncha mol diya,
Baton ke tezab mai mere mann ka amrat ghol diya,
Jab bhi koi enam mila hai mera nam tak bhool gai,
Jab bhi koi ilzam laga hai mujhper laaker dhol diya.Unknown Poet
Kam sab gair zaroori hain jo sab kerte hain,
Or hum kuch nahi kerte ghazab kerte hain,
Apki nazron mai suraj ki hai jitni azmat,
Hum charago ka bhi ootna he adab kerte hain.Unknown Poet
Log her mod pe rook rook ke sambhalte kyu hain,
Itna darte hain toh fir gharse nikalte kyu hain,
Mod hota hai jawani ka sambhalne ke liye,
Or sab log yahin aake fisalte kyu hain.Unknown Poet
Dilon mai aap labon per gulab rakhte hain,
Sab apne chehron per dohri nakab rakhte hain,
Hume charag samajhker bujha na paoge,
Hum apne ghar mai kai aftab rakhte hain.Unknown Poet
Kashti tera naseeb chamatkar kerdiya,
Isspar ke thapedo ne usspar kerdiya,
Afwah thi ki meri tabiyat kharab hai,
Logon ne pooch pooch ke bimar kerdiya.Unknown Poet
Na masjid ko jante hain na shivalon ko jante hain,
Jo bhookhe pait hote hain vo sirf sihvalon ko jante hain,
Mera yahi andaz zamane ko khalta hai,
Ki mera chirag hawa ke khilaf kyu jalta hai,
Mai aman pasand hu mere shahar mai aman rehne doh,
Lal or hare mai mat baton meri chat per tiranga rehne doh.Unknown Poet
Such bolne ke taur tarike nahi rahe,
Pathar bahut hain shahar mai sheeshe nahi rahe,
Vaise toh hum vahin hain jo pehle the doston,
Halat jaise pehle the vaise nahi rahe,
Khud margaya tha jinko bachane mai pehle baap,
Abke fasad mai vahin bacche nahi rahe,
Dariya ootar gaya hai magar behgai hain pul,
Uss par aane jaane ke raste nahi rahe.Unknown Poet
Dariya banker kisiko doobana bahut aasaan hai,
Magar zariya banker kisiko bachain toh baat bane.Unknown Poet
Muskurate insan ki kabhi jaibein tatolna,
Hosakta hai rumal geela mile usska.Unknown Poet
Girtein hain sajdon mai hum apne he hasraton ki khatir,
Agar girte ishq-e-khuda mai toh koi hasrat adhoori na rehti.Unknown Poet
Sahib yu na jhanko gareeb ke dil mai,
Yahan hazaron hasratein be-libaz rehti hain.Unknown Poet
Her massarat bhi vahi gum bhi vahi deta hai,
Dhoop or chaav ke mausam bhi vahi deta hai,
Zakhm lagte he nahi usski ijazat ke baghair,
Or fir zakhmo ko marhar bhi vahi deta hai.Unknown Poet
Gile shikve bhoola ker baat ker liya karo yaron maut mulaqat ka mouka nahi deti.Unknown Poet
Gareeb shahar ko mayassar na ho roti,
Ameer-a-shahar teri khairat per lanat.Unknown Poet
Lipat ke roti nahi hai kabhi shaheedon se,
Ye hosla bhi hamare watan ki maao mai hai,
Ye aisa karz hai jo mai ada ker he nahi sakta,
Mai jab tak ghar na lotu meri maa sajde mai rehti hai.Unknown Poet
Yaron ko massarat meri daulat pe hai lekin,
Ek maa hai jo bus meri khushi dekhke khush hai,
Tere daman mai sitare honge toh honge a falak,
Mujhko apni maaki maili oodhni acchi lagi.Unknown Poet
Jab bhi kashti meri sailab mai aajati hai,
Maa dua kerti hui khwab mai aajati hai,
Gher lene ko jab bhi balain aajaati gai,
Dhal banker maa ki duai aa gai.Unknown Poet
Sikha diya duniya ne mujhe apno per bhi shaq kerna,
Verna meri fitrat mai tha gairon per bhi bharosa kerna.Unknown Poet
Bulandi ka nasha simtoh ka jaadu tod deti hai,
Tez hawa oodhte hue panchi ki baazu tod deti hai,
Siyasi bhediyon thodi bohot gairat zaroori hai,
Tawayaf tak kisi muake per ghoongru tod deti hai.Unknown Poet
Jo kehte hain iss aandhi mai per na tola jaiga,
Jo iss baat per khush hain humse lobe na khola jaiga,
Unnse kaho hum toofano ne darne vale log nahi,
Qatil ko marte dum tak qaatil he bola jaiga.Unknown Poet
Mohobbat kon kerta hai siyasat kon kerta hai,
Mujhe malum hai meri hifazat kon kerta hai,
Or hamare jaise he kuch log aajate hain ladne ko,
Nahi toh jung mai jaane ki himmat kon kerta hai,
Or humhe ne laaj rakhi hai buzoorgo
ki yahan verna,
Sabhi tookdo pe palte hain baghawat kon kerta hai.Unknown Poet
Lovon per hum sajake ayat-a-quran nikle hain,
Watan per marne mitne ka liye armaan nikle hain,
Zamana agar tula hai jaan lene per toh kya darna,
Hatheli per sajake hum bhi apni jaan nikle hain.Unknown Poet
Naaz jispe tha taaqat vo bebus hui,
Kaam lashker na koi qila aaiga,
Hogi quran ki behurmati jis jagah,
Ekse badhker ek zalzala aaiga.Unknown Poet
A Dilli bata dhokha tujhe kab humne diya hai,
Ittrana ke layak jo hai vo sab humne diya hai,
Or hinsa ka jo illzam lagatein hain vo sunnlein,
Gandhi ko Mahatma ka lakab humne diya hai.Unknown Poet
Bulbulo ke Pankho mein bandhe hue kabhi Baaz nahi rehte,
Buzdilo aur Kayaro ke Haath Kabhi Raaz Nahi,
Rehte Ser Jhuka ke Chalne ki aadat pad jaaye jis Insaan Ko,
Us Insaan ke Ser Per Kabhi Taaj Naahi Rehte.Unknown Poet
Kehtein hain khudi se khud ka andaaza nahi hota,
Bahar aane se pehle phool bhi taaza nahi hota,
Koshishein kerte raho dost toh jaan jaoge,
Muqaddar ka hamesha band darwaza nahi hota.Unknown Poet
Jise hum haar samjhe the gala apna sajane ko,
Vahi ab naag ban baitha hamare kaat khane ko.Unknown Poet
Champa ke dus phool,
Chameli ki ek kali,
Murkh ki sari raat,
Or chatur ki ek ghadi.Unknown Poet
Koyal apni kookh se,
Paid apne fal se,
Khet apni oopaj se,
Or insan apne karmo se jaana jaata hai.Unknown Poet
Her parvat pe madi malik nahi hote,
Her hathi ke mathe pe mukhta madi nahi hoti,
Her jungle mai chandan ke paid nahi hote,
Or her desh mai Narendra bhai jaise neta nahi hote.Unknown Poet
Gulshan gulshan phool khile hain,
Pankh lage vikas ko,
Jisne swarg na dekha ho,
vo dekhe jaake Gujrat ko.Unknown Poet
Jis tarha aage ke dhairo ko koi kha nahi sakta,
Prathvi ko ooncha ootha nahi sakta,
Parvat himalaya jaise ko koi hila nahi sakta,
Sagar jaise ko koi sookha nahi sakta,
Oosi tarah Narendra bhai ki taqat ko koi Hindustan mai
daba nahi sakta koi mita nahi sakta.Unknown Poet
Congress ki mandi badi nashili hai,
Iss mandi mai sabne madira pili hai,
Or kamar band pukhta hain yaro sirf dalalo ke,
Aam aadmi ki dhoti toh yaaro dhili hai.Unknown Poet
Mosam badal raha hai her cheez badal rahi hai,
Garmi jaa rahi hai sardi aarahi hai,
congress ja rahi hai bjp aa rahi hai akhir mai kehta hua,
Hai andhera bohot ab suraj nikalna chahiye,
Jaise bhi ho ye mousam badalna chahiye,
Or jo chehre roz badaltein hain nakabo ki tarha,
Ab janaza dhoom se unka nikalna chahiye.Unknown Poet
Nai kamro mai ab cheezein purani kon rakhta hai,
Parindon ke liye shehro mai pani kon rakhta hai,
Hum he girti hui diwarko thame rahe verna,
Salikhe se buzurgo ki nishani kon rakhta hai.Unknown Poet
Unn gharon mai jahan mitti ke ghade rehtein hain,
Kad mai choteho magar log bade rehte hain,
Jo bhi daulat thi vo baccho ke hawale kerdi,
Jab tak mai nahi baithu ye khade rehte hain,
Maine fal dekh ke insano ko pehchana hai,
Jo bohot meethein ho andar se sade rehte hain.Unknown Poet
Gungunata jaa raha tha ek fakhir, "Dhoop rehti hai na saya dair tak".Unknown Poet
Agar ye darr haiki tujhko vo tum se tu kerde,
Toh mashvara hai mera khatam guftagu kerde.Unknown Poet
Kuch toh gum ki hirasat mai kat gai,
Kuch din teri visal ki chahat mai kat gai,
Ab jab tak jeenge nafrat kareenge hum,
vo din he or the jo mohobbat mai kat gai.Unknown Poet
Bhawar mai rehke kinare talash kerta hai,
Zami pe kon sitare talash kerta hai,
Vo kya koi inkalab laiga,
Jo her kadampe sahare talash kerta hai.Unknown Poet
Mushkil koi aan padehi toh ghabrane se kya hoga,
Jine ki tarkeeb nikalo marjaane se kya hoga,
Sab milker awaz oothain toh kuch chand pe rob padhe,
Mai tanha jugnu hu mere chillane se kya hoga,
Mere charago aankh milao suraj
banker bat karo,
Aandhi aati hai toh aai ghabrane se kya hoga.Unknown Poet
Bhale ek bar hona chahiye tha,
Kisise pyar hona chahiye tha,
Khade hain vo gulamo ki safo mai,
Jinhe sardar hona chahiye tha.Unknown Poet
Masiha dard ke hamdard hojain toh kya hoga,
Ravadari ke jasbe sard hojain toh kya hoga,
Or ye laakho karodo paanch vakto ke namazi,
Agar such much mai dehshatgard hojain toh kya hoga.Unknown Poet
Kaam sab gair zaroori hain jo sab kerte hain,
Hum kuch nahi kerte ghazab kerte hain,
Or apki nazron mai suraj ki hai jitni azmat,
Hum charagon ka bhi ootna adab kerte hain.Unknown Poet
Aaj hum dono ko fursat hai chalo ishq karein,
Ishq hum dono ki zaroorat hai chalo ishq karein,
Issme nuksan ka khatra he nahi rehta hai,
Ye munafe ki tijarat hai chalo ishq karein,
Aap Hindu mai Musalman ye issai vo sikh,
Yar chodo ye siyasat hai chalo ishq karein.Unknown Poet
Kabhi Tipu kabhi Ashfaq ke darse sada deta,
Jo hai tarik vo tarik dohra ker batadeta,
Agar Hanuman hota mai toh seena cheer ker apna,
Hindustan ka naksha dikha deta.Unknown Poet
Bulandi dair tak kis shaqs ke hisse mai rehti hai,
Bohot oonchi imarat her ghadi khatre mai rehti hai.Unknown Poet
Ameeri reshami kumkhwab mai nungi nazar aai,
Garibi shan se taat ke parde mai rehti hai.Unknown Poet
Ajab duniya hai naa shayar yahan per sir oothate hain,
Jo shayar hain vo mehfil mai dari chadar oothate hain,
Or tumhare shahar mai maiyat ko sab kandha nahi dete,
Hamare gao mai chappar bhi sab milker oothate hain,
Innhe firqa-parasti
mat sikha dena,
Ki ye bacche zami se choomker titli ke oothate parr hain.Unknown Poet
Ek ansu bhi hukumat ke liye khatra hai,
Tumne dekha nahi aansu ka samandar hona.Unknown Poet
Sirf itni bat per ussne hume balvai likha hai,
Ki hamare ghar ke ek bartan pe ISI likha hai. Hamare mulk mai insan jab ghar mai nahi rehte, Kahin Hindu Muslim Sikh likha hai, Yeh dukh shayad hamari zindagi ke sath jaiga, Ki jo dil per laga hai
teer uss per bhai likha hai.Unknown Poet
Iss shahar ki sabhi ladkiyan mujhe adab kerti hain,
Kyunki mai baccho ki kalai ke liye rakhi banata hu,
Vazahrat chand ghanto ki mahal minar se ooncha,
Mai Aurangzeb hu apne liye khichdi banata hu,
Tumhe hukumat milti hai toh
Gujrat banta hai,
Mujhe hukumat milti hai toh Dilli banata hu,
Mai Aurangzeb hu apne liye khichdi banata hu.Unknown Poet
So jaate hain footpath pe akhbar bichake,
Mazdoor kabhi neend ki goli nahi khate.Unknown Poet
Garje hain gesuo ki ghatao ke samne,
Baccho ko bhoon dala hai maao ke samne,
Shaitan ek rat mai insan ho ban gai,
Jitne namak haram the kaptan hogai.Unknown Poet
Mai dehshatgard tha marne pe beta bol sakta hai,
Hukumat ke ishare per toh murda bol sakta hai,
Yaha per nafraton ne kaise-kaise gul khilai hain,
Tooti issmat bata deti hai dupatta bol sakta hai,
Hukumat ki tavajjo chahti hai
ye hamari jali basti,
Adalat poochna chahe toh malva bol sakta hai.Unknown Poet
kai chehre abhi tak mooh zubani yad hain issko,
Kahi tum pooch mat lena ye goonga bol sakta hao,
Adalat mai gavahi ke liye lashein nahi aati,
Vo ankhe bujh chuki hain fir bhi chashma bolsakta hai,
Bohot si kursiyan iss mulk
mai lasho pe rakhi hui hain,
Ye vo such hai jise jhoothe se jhootha bol sakta hai.Unknown Poet
Mujhko malum nahi hai siyasat kya hai,
Mai fakat itna batadunga mohobbat kya hai,
Or apne maa baap ki ji jaan se khidmat kerlo,
Fir kisi sant ki baba ki zaroorat kya hai.Unknown Poet
Ameer-a-shahar se takrar kerke dekhte hain,
Khiraj dene se inkar kerke dekhte hain,
Ye rehnuma jagane se bhi nahi jage,
Chalo avaam ko bedar kerke dekhte hain.Unknown Poet
Mere jaisa aadmi mere jaisa humnam oolta seedha vo chale mujhe kare badnam.Unknown Poet
kai gharo ko nigalne ke baad aati hai,
Madad bhi shahar ke jalne ke baad aati hai,
Agar dangaiyo pe tera bus nahi chalta,
Toh sunnle o hukumat hum tujhe namard kehte hain.Unknown Poet
Darbaro mai jab ohdo ke liye pairo pe ana gir jaati hai,
Komo ke sir jhookhjate hain chakrake haya gir jaati hai,
Ab tak toh hamari ankho ne sirf dohe tamashe dekhe hain,
Ya komm ke rehbar girte hain ya log sabha gir jaati hai.Unknown Poet
Dawa ki tarha khate jaeye gali guzurgo ki,
Jo acche fal hain unka zaika accha nahi hota.Unknown Poet
Thakan ko oodhke bistar mai jaake late gai,
Hum apni qabr-a-muqqarar mai jaake late gai,
Tamam umr hum ek doosre se ladte rahe,
Magar mare toh barabar mai jaake late gai.Unknown Poet
Apno ke darmiyan siyasat fizool hai,
Maksad na ho toh bagawat fizool hai,
Roza, namaz, ya jaake haj,
Maa baap na razi ho toh ibadat fizool hai.Unknown Poet
Havaniyat ka koi talapgar na hoga,
Zalim ka yahan koi tarfdar na hoga,
Arre islam ka sirf ek he kanoon laga doh,
Fir Bharat mai kabhi koi balatkar na hoga.Unknown Poet
Khoon ke rand mai dooba hua badan nikla,
Rooh se jism se jaan se watan watan nikla,
Or kasam hai mujhko meri qabr jab bhi khodi gai,
Her ek bar tiranga mera qafan nikla.Unknown Poet
Ek doh zakm nahi jism hai sara chalni,
Dard bechara pareshan hai kahan se oothe.Unknown Poet
Humhe ko qatil kahegi duniya hamara he qatl-a-aam hoga,
Humhe kue khodte fireenge hum he pe pani haram hoga,
Agar yehe zihniyat rahegi toh mujhe ye darr hai ki,
Iss sadi mai na koi Abdul Hameed hoga na koi Abdul Kalam hoga.Unknown Poet
Aaya farman jo nabi ka hai poora kareenge hum,
Tum vandemataram padho quran padheenge hum,
Or hantho mai tiranga liye seeno mai innqalab,
Sajda khuda ko kerke watan pe mareenge hum.Unknown Poet
Ye alag baat khamosh khade rehte hain,
Fir bhi jo log bade hain vo bade rehte hain,
Or aise darvesho se milta hai hamara sijra,
Jinke jooton mai kai taj pade rehte hain.Unknown Poet
Jalte ghar ko dekhne walon phoos ka chappar aapka hai,
Aag ke peeche tez hawa hai aage muqaddar aapka hai,
Usske qatl pe mai bhi choop tha mera number ab aaya,
Mere qatl pe aap bhi choop hain agla number aapka hai.Unknown Poet
Zindagi ke naam per jaan se guzarta kon hai,
Mout ki batein toh sab kerte hain marta kon hai,
Mai tere lashker ke muqabil mai akela hu magar,
Faisla maidan mai hoga marta kon hai. Or Zindagi ke naam per jaan se guzarta kon hai,
Mout ki batein toh sab kerte hain lekin marta kon hai,
Or mai tere lashker ke muqabil mai akela khada hu magar,
Faisla maidan mai hoga ke marta kon hai.Unknown Poet
Bol ki lobe azad hain tere fir mere sir pe ek khadi dhoop ki bauchar giri,
Mai jahan jaaker rooka tha vahi diwar giri,
Log kishton mai mujhe qatl kareenge shayad,
Sabse pehle meri awaz per talwar giri.Unknown Poet
Kisi bhi shai mai tere husn sa jamal nahi,
Tu bemisal hai teri koi misal nahi,
Shiqasht khagaya tujhse tu dost hai verna,
Dushmano mai toh itni abhi majal nahi.Unknown Poet
Mai sochta jab tumko kabhi jasbaat se khushboo aati hai,
Jab zikr tumhara kerta hu her baat se khushboo aati hai,
Parde mai kya mehsoos karein barish ka maza mitti ki mehak,
Jab gau mai apne hoti hai barsat toh khushboo aati hai.Unknown Poet
Her kadam per jo socheenge thak jaeenge,
Jo na socheenge vo door tak jaeenge,
Hum samandar hain humko na raste bata,
Hum musafir nahi jo bhatak jaeenge,
Dushmani yaar kis-kis se leenge bhala,
Humhe tere pehlu se sarak
jaeenge.Unknown Poet
Tujhe duniya se jo itna gila hai,
Bata duniya ko tune kya diya hai,
Or jo itne pe tum itra raheho,
Ama itna toh humne khodiya hai.Unknown Poet
Her insa mai kahin na kahin khami hai:,
Sone mai sugandh nahi,
Ganne mai phool nahi,
Chandan mai fal nahi hota,
Raja Dheergji bhi nahi hota,
Vidwan ke pass dhan nahi hota,
kisi ko muqammal jahan nahi milta,
Kahi zami toh kahi aasma nahi milta.Unknown Poet
Sabhi ko sabhi kuch hasil nahi milta,
Nadi ki her lehar ko sahil nahi milta,
Arre ye dil valo ki duniya hai ajab hai dastan isski,
Kisise dil nahi milta or koi dilse nahi milta.Unknown Poet
Mai aaena hu dikhaunga daag chehro ke,
Jise bura lage vo samne se hat jai.Unknown Poet
Kahin jhooth ki shakshiyat beh na jai,
Ye nafrat ki diwar chat beh na jai,
Hai ek maa ke aansu ka sailab sahib,
Kahin aapki saltanat beh na jai.Unknown Poet
Sabke dilon ki jaan banaya hai aapne,
Mushkil ko bhi aasan banaya hai aapne,
Kaise ada karunga mohobbat ka qarz mai,
Nomaan ko Nomaan banaya hai aapne.Unknown Poet
Ki mashre ki kuch aisi safai kerna hai,
Badai or na kisiki burai kerna hai,
Nijad nafrat se iss mulk ko dilane ko,
Hum sab ko milker rehnumai kerna hai.Unknown Poet
Ye kon keh raha hai ke talwar leke chal,
Duniya salaam thokegi kirdar leke chal,
Or kyu chal raha hai kisi sarkar ke peeche,
Tu aisa ban ki sath mai sarkar leke chal.Unknown Poet
Pyar mohobbat batoge acche bande hojaoge,
Keechad sab per fekoge toh khud gande hojaoge,
Or hume mitane ki koshish mai nasl fana hojaigi,
Hum suraj hain aankh milaoge toh andhe hojaoge. Or Pyar mohobbat batoge acche bande hojaoge,
Keechad sab per fekoge toh khud gande hojaoge,
Or karo hum sab ko jodne ki koshish,
Hume todoge toh khud fana hojaoge.Unknown Poet
Rang laata hai lahu doston mazloomo ka,
Haal her hal mai zalim ka bura hota hai,
Aap her daur ki tareekh ootha ker dekhlein,
Zulm jab had se guzarta hai toh fana hojata hai.Unknown Poet
Ye bhi mohobbat ka taqaza hai ki:,
Ganga jal se vazu kerke, Kerte hain hum namaze ada,
Isi ser zami pe jhook ke kertein hain hum sajda,
Mat samjho gaddar hume chahe khanjar se cheer doh seena hamara,
Niklegi aakhri cheekh yahi,
Sare jahan se accha Hindustan hamara.Unknown Poet
Ye kon kehraha hai ki talwar deke dekh,
Duniya ko jeet laeenge dastar deke dekh,
Or kis tarha chalatein hain batadeenge tumhe,
Humko bhi doh roz ke liye sarkar deke dekh. Or Ye kon kehraha hai ki talwar deke dekh,
Duniya ko
jeet laeenge bandook deke dekh,
Or marjaeenge meet jaeenge apne Hinduastan ke khatir,
Hume bhi sarhado pe ladne ko bhej ke dekh.Unknown Poet
Ki mohobbat or chahat ka mohalla leke chalta hai,
Ye pagal apne lobe per naam-e-allah leke chalta hai,
Mehez iss bat per kurban tyjhpe a Nomaan,
Tu apne sath gaadi mai musalla leke chalta hai. Or Ki mohobbat or chahat ka mohalla
leke chalta hai,
Ye pagal apne lobe per Naam-E-Hindustan leke chalta hai,
Mehez iss bat per kurban tyjhpe a Nomaan,
Tu apne sath gaadi mai Tiranga lagake chalta hai.Unknown Poet
Dilon mai zeher nafrat gholne se kuch nahi hoga,
Teri gandi zubaa ke kholne se kuch nahi hoga,
Ragegi jab talak duniya azaan goonjegi masjid mai,
Kisi ke bolnese kuch nahi hoga.Unknown Poet
Kya haseenge hasaeenge jug ko hasane vale,
Baat ka batangad banadete hain zamane vale,
Sharm ki baat kahu ya dharm ki baat kahu,
Ek he jaise hain mandir or masjid ko girane vale.Unknown Poet
Allah valo Ram valo apne mazhab ko siyasat se bachalo,
Mandir masjid kabhi fursat mai bana lena,
Jo nafrat se toote hain vo ghar toh banalo,
Apni ghar ki chat ko bachake rakhna,
Apne padosiki ki diwar girane walon,
Ek
he rehne doh shaheedoh ka tiranga jhanda,
Roz nai jhande mai danda fasane valon.Unknown Poet
Mandir mai dana chugker chidiya masjid mai pani peeti hai,
Maine suna hai Radha ki chundri koi Salma begum seeti hai,
Ek Rafi the jo her mehfil mai Raghupati Raghav gaate the,
Toh kahin Prem Chand Eidgah padate the,
Arre Krishn
ke vakya sune Ruskhan ke mukh se,
Na Hindu dikhta hai na musalman dikhta hai,
Mujhe Bharat desh mai sirf insan dikhta hai.Unknown Poet
Shama jalake mehfil mai ye parvane aai hain,
Ki desh ke khatir jaan dene ye diwane aai hain,
Arre shikari toh bohot aai or chale gai,
Lagta hai jungle mai ye sher purane aai hain.Unknown Poet
Jusbe fauladise darte rehte hain,
Apni barbadise darte rehte hain,
Lucknow Dilli mai baithe kuch nakli log,
Sher ki azadise darte rehte hain.Unknown Poet
Ek benaam si chahat liye aaya hu,
Aap logo se mohobbat ke liye aaya hu,
Mai bade budho ki khidmat ke liye aaya hu,
Kon kehta hai huqumat ke liye aaya hu,
Mai khasker hindu muslim ko ek kerne aaya hu,
Toote bikharte hue
rishte ko jodne aaya hu,
Ab toh iss kismat ko badla bhi nahi jaasakta,
Mai vo engineer hu vo jo vapas dilli bhi nahi jaasakta.Unknown Poet
Nadi ke ghat per bhi agar siyasi log bus jaain,
Toh piyase honth ek-ek boond pani ko taras jaain,
Ganimat hai mosam per hukumat chal nahi sakti,
Nahi toh sare baadal inhe ke kheton mai baras jain.Unknown Poet
Meri sanso per tumhara anginat ehsan hai,
Teri khushali rahe kehta mera emaan hai,
Meri sanso mai Tirange ki bulandi ki dua,
Mere Hindustan tujhper jaan bhi qurban hai.Unknown Poet
Baat aankho ki suno dil mai ootar jaati hai,
Zuban ka kya hai kabhi bhi mukar jaati hai,
Jo keh sako vo kaho zariya chahe jo bhi ho,
Zindagi ka kya hai guzarna hai guzarjaati hai.Unknown Poet
Sab faisle hote n ahi sikke oochal ke,
Ye dil ke mamle hian zara dekh bhal ke,
Or mobile ke daur ke aashiqo ko kya pata,
Rakh dete the kaise khat mai kaleja nikal ke.Unknown Poet
Kya khata mujhse hui jo khat ka aana band hai,
Aap hain mujhse khafa ye daakhana band hai,
Tum agar taish mai aaker mera khat faad bhi daalo,
Tumhare paau chumeenge mere tehreer ke tookde.Unknown Poet
Tu bebafa hai toh le buri khabar bhi sunnle,
Ki intezar mera doosra bhi kerta hai,
Or haseen logon se milne per aitraaz na ker,
ye jurm vo hai jo shadi shuda bhi kerta hai.Unknown Poet
Tumhe ehle siyasat ne kahin ka bhi nahi rakha,
Hamare sath rehte toh sukhanvar hogai hote.Unknown Poet
Raste niharti rahi maai tamaan raat,
Bacche school se seedhe jannat chale gai.Unknown Poet
Naya nizam hai bandishein elaan naya,
Hum fakhat lashker-a-shahi ke mafiq sochein,
Sahib-a-waqt ne ye huqm kiya hai jari,
Apne bacchose kaho mere mutabiq sochein.Unknown Poet
Adab ke naam per mehfil mai charbi bechne valon,
Abhi vo log zinda hain jo ghee pehchanlete hain.Unknown Poet
Khud se chalker nahi ye tarj-e-sukhan aaya hai,
Paau daabe hain buzurgo ke toh funn aaya hai,
Dil aisa ki seedhe kiye joote bhi badon ke,
Or zidd aisi ki khud taj oothaker nahi pehna.Unknown Poet
Konsi baat kahan kaise kahi jaati hai,
Ye salikha ho toh her baat suni jaati hai,
Or insan pehchanne ki ye bhi ek nishani hai,
Guftagu batadeti hai kon kitna khandani hai. Mujhe her zulm ke aage tumhari dhaal banna hai,
Muhe
Galib nahi banna mujhe Iqbal banna hai.Unknown Poet
Bebafai ke her illzam se bahar kerdoh,
Komm ko gardish-e-aiyam se bahar kerdoh,
Begunaho ka bahatein hain jo lahu pagal,
Muftiyon unhe islam se bahar kerdoh.Unknown Poet
Mere bare mai hawao se vokab poochega,
Khak jab rakh mai miljaigi tab poochega.Unknown Poet
Tumne dus-dus laakh diye hain viron ki vidvao ko,
Yani ki kimat lautadi hai veer parushattam maao ko,
Lo mai bees laakh detahu tum kismat ke hetoh ko,
Himmat hai toh mantri ladne bhejein apne beton ko.Unknown Poet
Khuda ki raah mai hum koi samjhauta nahi kerte,
Magar khaq-a-watan tujhko kabhi rusva nahi kerte,
Hamari desh ki sansad tujhko ye toh pata hoga,
Mohobbat jisse kerte hain use sajda nahi kerte.Unknown Poet
Kya aarzoo karu mai teri aarzoo ke baad,
Kuch bhi baaki nahi bacchega meri guft-a-gu ke baad,
Or duniya ka koi khoff mujhe kya daraiga,
Maa ne hai doodh pilaya mujhe vazu ke baad.Unknown Poet
Mai sochta hu ki such kab talak na boleenge,
Ghootan badegi toh khud he dariche kholeenge,
Or humhe mai jurat-a-izhaar ka salikha hai,
Sada ka kahad padega toh humhe boleenge.Unknown Poet
Ki waqt padhne pe her ek baar ootha lete hain,
Gul-ke-shadai hain magar khar ootha lete hain,
Hum vo shayar hain ki jab zulm ka sir oothta hai,
Hum kalam faik ke talwar otha lete hain.Unknown Poet
Ki kuch iss tarahse khuda ne mujhe buland kiya,
Mai thak gaya toh hawane mujhe buland kiya,
Meri majal ki mai aasma ko chuleta,
Na jaane kiski dua ne mujhe buland kiya.Unknown Poet
Ki charagon ke safar mai dabdaba ho aandhiyon ka,
Toh fir anjam zulmat ke siva kuch bhi nahi hai,
Ye duniya nafraton ki aakhri stage mai hai,
Ilaj isska mohobbat ke siva kuch bhi nahi. Or Ki charagon ke safar mai dabdaba ho aandhiyon
ka,
Toh fir anjam zulmat ke siva kuch bhi nahi hai,
Ye duniya nafraton ke aakhri muqam pe hai,
Ilaj isska mohobbat ke siva kuch bhi nahi.Unknown Poet
Mai gangajal se vazu karu tu zum-zum pile,
Fir ladein usse jo hai hume ladane vala,
Or naam pe mazhabon ke lad bheed ker yuhi sadkon pe ger bahadoge,
Sarhadon ne agar lahu manga doston sirhadoh ko kya doge.Unknown Poet
Aao hum sab milker aaj ki raat ye vada kerte hain,
Ki sadiyon se jab sath rahe hain fir ab kyu takrar karein,
Sath jieenge sath mareenge aao ye iqrar karein,
Tum talwar zami per rakhdoh hum bhi ab khanjar rakhdein,
Bhai bhai
hokerke kyu ek dooje per vaar karein,
Nafrat se nafrat badhti hai pyar se pyar panapta hai,
Sham-a-mohobbat se aao roshan ye sansar karein.Unknown Poet
Vo pathrai si aankho ko bhi kajal bhejdeta hai,
Sulagti dopahar mai jaise badal bhejdeta hai,
Mai apne sab masael bus usi per chod detahu,
Mere ooljhe masael ka vohi hal bhejdeta hai,
Jahan vale usse jab yaad kerna bhool jaate
hain,
Zamino ki tahon mai koi hulchul bhej deta hai,
Jahan ehle khirat tevar badal ker baat kerte hain,
Vo ibrat ke liye doh chaar pagal bhejdeta hai,
Subah magroor ko vo shaam bhi kerdeta hai,
Shohratein cheen ke
gum nam bhi kerdeta hai,
Waqt se aankh milane ki jurrat mat karo,
Waqt insan ko nilam bhi kerdeta hai.Unknown Poet
Vo shaqs ba amal tha magar zidd pe addh gaya,
Apno se door hoker musibat mai padh gaya,
Mitti se jo bhi apni bafain na kersaka,
Vo paid andhiyon mai jadonse ookhad gaya,
Ussne bhi sabke sath ki meri mukhafilat,
Jiske
liye mai sare zamanese lad gaya,
Or jisdin mere oorooj ki ussne khabar suni,
ussdin se usska zehni tavazun bigad gaya.Unknown Poet
Ki haweli jhopdi sabka muqaddar toot jaiga,
Agar sath hindu muslimo ka choot jaiga,
Dua kijiye ki humme pyar ke rishtein rahein kayam,
Ye rishte toot jaeenge toh mulk toot jaiga.Unknown Poet
Koi sarhad nahi hoti ye galiyara nahi hota,
Agar maa beech mai hoti toh batvara nahi hota.Unknown Poet
Jahan her sir jhookjai vahin mandir hai,
Jahan her nadi samajai vahi samander hai,
Jivan ki iss karm bhumi mai yudh bohot hain,
Jo her jung jeet jai vohi sikandar hai.Unknown Poet
Vo dariya he nahi jisme nahi ravani,
Jab josh he nahi toh kis kaam ki hai javani.Unknown Poet
Or Sikandar doston, Sikandar halat ke aage nahi jhookhta,
Taara toot bhi jai zami pe nahi girta,
Girte hain hazaron dariya samandar mai,
Per kabhi koi samandar dariya mai nahi girta.Unknown Poet
Nai soch hai nai dishain hain banai raste,
Apne liye nahi doston jiyein watan ke vaste.Unknown Poet
Kanton mai rehke bhi phoolon ki tarha mehakna seekho,
Kichad mai rehker bhi kamal ki tarha khilna seekho,
Jo paristhitiyon se ghabrajai vo looh purush ho nahi sakta,
raakh mai rehker bhi angaro ki tarha dehakna seekho.Unknown Poet
Her deen dukhi mann mai umang tumhe bharni hai,
Her aashaheen hirdaya mai tarang tumhe bharni hai,
Arre mahabharat toh her yug ki atal zaroorat hai,
Banke arjun succhai ki jung tumhe ladni hai.Unknown Poet
Haan ijazat hai agar koi kahani or hai,
Inn katoron mai abhi thodasa pani or hai,
Mazhabi mazdoor sab baithein hain inko kaam doh,
Ek imarat shahar mai kafi purani or hai,
Khamoshi kab cheekh banjai kise malum hai,
Julm
kerlo jab talak ye bezubani or hai.Unknown Poet
Apne mustaqbil (future) ki chadar per rafu kerte hue,
Masjidon mai dekhiye bacche vazu kerte hue,
Mazhabi logon ke honthon per khamoshi thi,
Magar mandiro masjido ko dekha guftgu kerte hue.Unknown Poet
Ye siyasat ki tavayaf ka dupatta hai,
Jo kisike aansuo se namm nahi hota.Unknown Poet
Sahah Arfi ka sher hai ki Bekasi jab farokht palegi zulm ki botiyan chabalegi.Unknown Poet
Kisi ko ghar mila hisse mai ya koi dukaan aai,
Mai ghar mai sabse chota tha mere hisse mai maa aai.Unknown Poet
Jab bhi kashti meri sailab mai aajati hai,
Maa dua kerti hui khwab mai aajati hai.Unknown Poet
ye dekhker patange bhi hairan hogai,
Ab toh chatein bhi hindu musalman hogai,
Kya shahar-a-dil mai jashsa rehta tha raat din,
Kya bastiyan thi kaise bayaban hogai.Unknown Poet
Na kamra jaan pata hai na angnai samajhti hai,
Kahan devar ka dil atka hai bahujai samajhti hai,
Hamare or usske beech ek dhage ka rishta hai,
Hume lekin hamesha vo saga bhai samajhti hai,
Tamasha banke rehjaoge tum bhi sabki
nazron mai,
Ye duniya dil ke tanko ko bhi turpai samajhti hai.Unknown Poet
Kisi ke zakhm per chahat se patti kon bandhega,
Agar behne nahi hongi toh rakhi kon bandhega,
Jahan ladki ki izzat lootna khel banjai,
Vahanper a kabutar tere chitthi kon bandhega,
Ye bazar-a-siyasat hai yahan khudariyan kaisi,
Sabhi ke hanth mai kansa hai muthi kon bandhega,
Tumhari mehfilon mai hum bade boodhe zaruri hain,
Agar hum he nahi honge toh pagdi kon bandhega.Unknown Poet
Bzdili hai pasth hona apni ankhon mai,
Yadi thodi si himmat ho toh kya nahi hosakta.Unknown Poet
Kuch toh log kaheenge logon ka kaam hai kehna,
Chodo bekar ki baton ko kahin beet na jai raina.Unknown Poet
Mrat ateet ko dafna dalo anand bharixhya tumhare samne khada hai.Unknown Poet
Ber lamya yahan musrufe karpasvani hu,
Musalma toh yakinun hu magar Hindustani hu.Unknown Poet
Vo tere pass se choop chap guzar kaise gaya,
Dil-e-betaab qayamat na oothati tune.Unknown Poet
Iqrar ker gaya kabhi inkar ker gaya,
Her bar ek azabse doh char ker gaya,
Rasta badal ke bhi dekha magar vo shaks,
Dil mai ooterker sari hadein par kergaya.Unknown Poet
Apna he samajhte hain dil-e-jaana tumne hum,
Dushman toh kabhi dil mai basai nahi jaate.Unknown Poet
Vo tha fasla dua or mustajabi mai,
Ki dhoop mangne jate toh abar aajata,
Vo mujhe chodker jis shaks ke pass gaya,
Barabari ka bhi hota toh sabr ajata.Unknown Poet
Rasme oolfat hai ki milte hain bichadne ke liye,
Aise mat chaho ki judai ki ravayat na rahe.Unknown Poet
Rodade mohobbat kya kahiye kuch yad rahi kuch bhool gai,
Doh din ki mussarat kya kahiye kuch yad rahi kuch bhool gai.Unknown Poet
Ab hawain khud he karingi roshani ka faisla,
Jis diye mai jaan hogi vo dia reh jaiga.Unknown Poet
Ab faisla naseeb pe chodein jo ho so ho,
Ab toh hamare hanth mai kuch bhi nahi raha.Unknown Poet
ye chand sitare kerte hain mujhe nasiyat,
Raton ko fira kerte ho so kyu nahi jaate.Unknown Poet
Yahan ke log apne khwab dil mai rakhte hain,
Tere shahar ki ye ada acchi lagi humko.Unknown Poet
Agar khamosh rehta hu toh gairat mardalegi,
Agar such boldunga toh huqumat mardalegi,
Bohot hoshiyar rehna hai sabhi hindu musalma ko,
Ladaker verna apas mai siyasat mardalegi.Unknown Poet
Sab phool yahan murjhatein hain,
Tu pyar ki shabnam paida ker,
Doh toote dilon ko ek kerde aisa koi marhum paida ker,
Iss anga jamni tehzeeb bachane ki khatir,
A mere khuda kuch or zara Rehnuma paida ker.Unknown Poet
Hum sayadaar paid zamane ke kaam aai,
Jab sookhne lage toh jalane ke kaam aai,
Or tawar ki mayaam kabhi fekhna nahi,
Mumkin hain ki dushmano ko darane ke kaaam aai,
Or kaccha samajhker bech na dena makan ko,
Shayad kabhi
ye sir ko chupane ke kaam aai.Unknown Poet
Vo sir buland hamesha khushamadoh mai raha,
Mai sir jhookai raha or sirmadoh mai raha,
Or muhajiron yahi taarikh hai makano ki,
Banane vala hamesha baramdoh mai raha,
Or kabutaron ko pani pilake khush hu bohot,
Yahi bohot
hai ki mai kuch dair sayyadon mai raha.Unknown Poet
Lehron mai doobte rahe dariya nahi mila,
Usse bichadke fir koi vaisa nahi mila,
Meri he tarha vo bhi akela hai shahar mai,
Ussko bhi koi chahne vala nahi mila.Unknown Poet
Log toot jaate hain ek ghar banane mai,
Tum taras nahi khate bastiyan jalane mai,
Her dhadakte pathar ko log dil samajhte hain,
Ummrein beet jaati hain dil ko dil banane mai.Unknown Poet
Mohobbat ek khushboo hai hamesha sath chalti hai,
Koi insaan tanhai mai bhi tanha nahi rehta,
Or tumhara shahar toh bilkul nai andaz vala hai,
Hamare shahar mai bhi ab koi humsa nahi rehta.Unknown Poet
Soo (100) khulus baton mai sab karam khayalon mai,
Bus zara bafa kum hai tere shahar valon mai.Unknown Poet
Fir ek bacche ne lasho ke dhair pe chadhker kehdiya,
Ki abhi khandan baki hai,
Or vo bebakoof zami baatker bohot khush hai,
Usse kaho abhi aasman baki hai.Unknown Poet
Na mera hai na tera hai ye Hindustan sabka hai,
Or nahi samjhi gai ye baat toh nuksan sabka hai.Unknown Poet
Shadeb apne taaruff ke liye ye baat kafi hai,
Hum usse bachke chalte hain jo rasta aam hojai.Unknown Poet
Khudse chalker nahi ye tarf-e-sukhun aaya hai,
Paau daabe hain buzurgon ke toh funn aaya hai,
Dil aisa ke sidhe kiye jootein bhi badon ke,
Zidd itni ke khud taaj ootha ker nahi pehna.Unknown Poet
Koi sarhad nahi hoti ye galiyara nahi hota,
Agar maa beech mai hoti toh batvara nahi hota.
Or
Koi sarhad nahi hoti ye galiyara nahi hota,
Agar siyasat beech mai nahi hoti toh batvara nahi hota.Unknown Poet
Tassavvru mai sahi lekin mai guldasta banata hu,
Sazain dijiye mai aapka chehra banata hu,
Na jannat maine dekhi na jannat ki tavakko hai,
Magar mai khuwab mai iss mulk ka naksha banata hu,
Mujhe apni bafadari pe koi shaq nahi hota,
Mai khoon-a-dil miladeta hu jab jhanda banata hu.Unknown Poet
Jiske bahadoori ke kaside likhe gai,
Nikla shikar per toh kabutar pakad liya,
Ek umr tak toh mujhko tera intezar tha,
fir meri aarzuo ne bistar pakad liya.Unknown Poet
Gale milti hui nadiyan gale milte hue mazhab,
Allhabad mai kaisa nazara chod aai hain.Unknown Poet
Ek angun mai doh angun hojaate hain,
Mat poochaker kis karan hojaate hain,
Ram ki basti mai jab dunga hota hai,
Hindu Muslim sab Ravan hojaate hain.Unknown Poet
Shahidon ki zami hai jise Hindustan kehte hain,
Ye banjar hoker bhi buzdil paida nahi kerti.Unknown Poet
Vo shaqs ba amal tha magar zidd pe addh gaya,
Apno se door hoker musibat mai padh gaya,
mitti se jo bhi apni bafain na ker saka,
vo paid andhiyon mai jadon se ookhad gaya,
ussne bhi sabke sath ki meri mukhafilat,
jiske liye mai sare zamane se lad gaya,
or jisdin mere oorooj ki ussne khabar suni,
ussdinse usska zehni tavazoon bigad gaya.Unknown Poet
Dil mai armaan yahi ho, yahi fariyad rahe,
Mai rahu na rahu bharat mera abad rahe.Unknown Poet
Azi star vo mujhe rakhta hai ragejaan se,
Ye bat such hai mera baap kum nahi meri maa se,
Vo maake kehne pe kuch rob mujhpe rakhta hai,
Yehe vajah hai mujhe choomte jhijhakta hai,
Vo ashna mere her karb se rahe her dum,
Jo khoolke ro nahi pata magar sisakta hai,
Joodi hai usski her afaqat meri aah se,
Ye bat such hai mera baap bhi kum nahi hai maa se
Her ek dard vo choopchap khud per sehta hai,
Tamam umr vo apno se kut ke rehta hai,
Vo lauta hai kahin rat dair ko,
Din bhar vajood usska pasine mai dhalke behta hai,
Gile hain fir bhi mujhe aise chak damad se,
Ye bat such hai mera baap kum nahi hai maa se,
Purana suit pehenta hai kum vo khata hai,
Magar khilone mere sab khareed lata hai,
Vo mujhe soye hue dekhta hai ji bharke,
Najane sochke kya kya vo muskurata hai,
Mere baghair hain sab khwab usske viran se,
Ye bat such hai mera baap kum nahi hai meri maa se.Unknown Poet
Mera chirag hawa ke khilaf jalta hai,
Isiliye toh zamane ko aaj khalta hai,
Or usi ko khalne lagi roshnai mere ghar ki,
Mere chirag se jiska chirag jalta hai,
Jo tumne aag lagai thi tum toh bhool gai,
Hamare dil se abhi tak dhua nikalta hai.Unknown Poet